Uncategorized

WhatsApp Par Unlimited Groups Join Kar Apne Business Promote Kaise Kare

Hello friends agar aap whatsapp messenger use karte hai to aap kisi na kisi whatsapp group me add jarur honge. Ya fir aapne khud hi whatsapp par group create kiya hoga aur usme other members yani apne friends ko add jarur kiya hoga.

Aur unn whatsapp group me aap daily koi na koi post karte honge ya aapke friends or other group members group me kuch na kuch share karte honge. Jo ki sabhi group members ko show hoti hai aur vo sabhi unn message par apna reation dete honge.

Aur agar aap kisi bade whatsapp group ke member hai to aap jo bhi share karte hai vo post jyada se jyada logo tak pahuch jati hai. Aise me aapki post jyada viral hoti hai kyuki jyada se jyada log usse dekhte hai.

Lekin agar aap ek bada whatsapp group banana chahte hai to iske liye aapke paas jyada se jyada whatsapp friends hone chahiye tabh aap ek bada whatsapp group create kar sakte hai. Aur usme apni har ek post ko share kar usse jyada se jyada logo tak pahucha sakte hai.

Lekin agar aapka friend circle jyada bada nahi hai aur aap bade se bada whatsapp group me join hona chahte hai to ye aapke liye thoda sa mushkil ho sakta hai. Isliye aaj ki iss post me mein aapko ek aisi trick ke bare me batane wala hu jiski help se aap koi bhi huge member wala whatsapp group join kar sakte ho.

Aur apni post ko jyada se jyada whatsapp users tak pahucha sakte ho aur agar aap koi business karte hai to apne business ko jyada se jyada logo ke beech me promote kar sakte hai. Bus iske liye aapko whatsapp par unlimited groups join kar apne business ko promote karna hai.

WhatsApp Par Unlimited Groups Join Kar Apne Business Promote Kaise Kare

Whatsapp par unlimited groups join kar apne business ko promote karne karna koi mushkil kaam nahi hai. Bus iske liye aapko iss post me bataye gaye tips ko follow karna hai iske baad aap easily koi bhi big aur unknown whatsapp group join kar sakte hai.

To whatsapp par unlimited group join karke apne business ko promote karne ke liye aapko kya karna hai iske liye niche diye gaye steps ko carefully follow kare.

  1. Sabse pehle aapko apne android mobile phone me chrome browser open karna hai. Aur usme  WPGroupURL ke iss link ko open karna hai.
  2. Ab next interface me aapke samne kai recently groups show ho jayenge aur kai old group bhi show honge. Yahapar aap load more group par click kar aur bhi whatsapp group load kar sakte hai. Sath hi aap yahapar ek option show hoga Countrywise Group Click to expand  to aap iski help se aur country wise group ko expand kar sakte hai.
  3. Iske baad aapke samne category wise group show honge jaise ki Fun & jokes, religion, community, shayri, education, news and politics etc. To aap jiss category me interested hai usse select kare.
  4. Ab aapke samne selected category se related sabhi group show ho jayenge. To ab aap jiss Whatsapp group me join hona chahte hai usse open kare.
  5. Whatsapp group open karte hi thoda sa niche ki tarf scroll karenge to aapko Join group button show hoge. To uss group me add hone ke liye aapko simply Join group ke button par click karna hai.
  6. Join group par click karte hi aap Whatsapp par redirect ho jayenge aur niche ki tarf aapko ek popup show hoga jisme group terms and condition ko aap read kar sakte hai. Aur finally uss whatsapp group me add hone ke liye aapko Join group ke button par click kar dena hai.

Bus aapko yahapar yahi steps follow karne hai jiske baad aap kisi bhi bade se bade whatsapp group ko join kar usme apna business promotion kar sakte hai.

So friends ab aap samajh hi gaye honge ki whatsapp par unlimited groups join kar apna business promotion kaise kar sakte hai. Agar aap whatsapp par unlimited groups join karne ki ye jankari helpfull lagi ho to isse apne friends ke sath social sites par share jarur kare. Aur aaapka koi sujhav ya saval hai to comment jarur puche.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.