WHATSAPP

WhatsApp Par Block Kisne Kiya Kaise Pata Kare

Whatsapp par block kisne kiya kaise pata kare aaj ki iss post me mein aapko batane wala hu. Instant messaging app me sabse upar whatsapp mobile application ka name aata hai. Aur facebook ki ownership wali iss app ko logo dwara kaafi pasand kiya gaya hai. Aur whatsapp aajke time me top aur popular messaging app ban gayi hai.

India ki baat kare to karib 20 karod se jyada users apne friends ke sath message karne ke liye. Whatsapp platform ka use karte hai. Aur whatsapp apne users ko kafi useful aur new features bhi time to time provide karta rehta hai.

Whatsapp me aap apne janane walo ya friends se messaging ke through connect to reh hi sakte hai. Sath hi aapko whatsapp mobile application me photo ya video share karne ka option milta hai. Ye to aap acchi tarah se janate hi honge. Iske sath hi aap whatsapp privacy setting me isse apne according customize kar sakte hai.

WhatsApp Security

Agar whatsapp ki security ki baat kare to ye app puri tarah se secure hai. Aur whatsapp end to end encription ke bare me aapne suna hi hoga. Whatsapp me ye end to end security bahut hi kamal ki hai. Aur end to end security se koi bhi third person aapke message ko read nahi kar sakta hai. Yani ki aap aur aap jiss user ko message kar rahe hai. Unke alawa koi bhi third person aapki conversation ko read nahi kar sakta hai.

Whatsapp ki inhi important features ke sath ek aur feature bhi hai whatsapp blocking feature. Iss feature ki help se aap apne kisi bhi whatsapp contact ko easily block kar sakte hai. Matlab agar aapka koi friend jisse aap whatsapp mobile application me block karna chahte hai. Jise aap nahi chahte ki vo aapse chat kare. Ya aapke sath photo, video share kare to blocking feature ki help se aap usse easily rok sakte hai.

Agar aap whatsapp par kisi friend ko block kar dete hai to vo na hi aapko photo, video bhej sakega. Aur na hi aapse koi chat kar sakega. Whatsapp me bhot se user iss feature ka use karte hai. Aisa karne ke piche unka apna personal reason ho sakta hai. Lekin jyadatar whatsapp user blocking feature ka use ek dusre se narazgi ki vajah se karte hai.

Whatsapp Blocking Feature

Agar aapko bhi apne kisi whatsapp contact se narazgi hai. Aur aap nahi chahte ki vo aapko whatsapp mobile application me contact kar paye. To aap bhi whatsapp ki blocking feature ka use karenge. Aur whatsapp application me kisi bhi friend ko block karna bhot hi aasan hai. Aur aap iske bare me acchi tarah se janate bhi honge.

Lekin friends agar aapko hi kisi whatsapp friend ne block kar diya ho to aap kis tarah pata kar sakte hai. Ki aapke kis friend ne aapko block kiya hai. Yani ki aap whatsapp par blocked hai ya nahi iss baat ka kaise pata karte hai. Aaj ki iss post me mein aapko kuch tips batane wala hu.

WhatsApp Me Aap Blocked Hai Ya Nahi Aise Kare Pata

Whatapp mobile application me aapke friend ne aapko block kiya hai ya nahi. Iss baat ko confirm karne ke liye niche diye tips ko check kare. Yahapar mein aapko ye bata du ki agar aapko koi whatsapp par block kar deta hai.

To aapko iska kisi bhi tarah ka notification nahi mita hai. Isliye mein aapke sath niche diye kuch important tips aapke sath share kar raha hu. Agar aap block honge to inn tips se aapko kaafi kuch confirmly indication to mil hi jayega.

#1 Online Status

Agar aapke kisi whatsapp friend ne aapko block nahi kiya hoga. To aapko uska last seen ya fir agar vo online hai. To aapko uske name ke niche hamesha online likha show hoga. Agar aapke kaafi der tak dekhne ke baad bhi aapko iss tarah ka kuch bhi show nahi hota hai. To iska saaf matlab hai ki aapko uss friend ne block kar diya ho.

#2 Message Delivery Tick

Agar aapko apne kisi friend par doubt hai ki usne aapko block kiya hai ki nahi. To ye janane ke liye usse ek message send kare. Message send karne ke baad aapko double tick show honge. Jiska matlab hai ki message delivered ho gaya hai. Agar aapko do tick show hote hai to matlab aap blocked nahi hai. Agar aapko kaafi time se single tick show ho raha hai.

To iska matlab hai ki aapko uss user ne block kar diya hai. Halaki aisa network issue ki vajah se bhi ho sakta hai. . Lekin ek se jyada dino tak aisa show hone par ye confirm ho jata hai ki usne aapko block kar diya hai.

#3 Hide Profile Picture/Status

Agar aapko ko whatsapp mobile applicatin me block kar deta hai. To aapko send messages par double tick to show nahi hoga. Iske sath hi aapko uss user ki profile picture yani ki DP bhi nahi dikhegi. Iske sath hi aapko uss user ke status bhi show nahi honge. Jisse ye confirm ho jayega ki aapko usne block kar diya hai.

#4 WhatsApp Call Disable

Agar aapka koi whatsapp contact aapko block kar deta hai to aap usse whatsapp platform par call nahi kar payenge. Agar aap call karenge to aapko whatsapp call nahi lagegi. Lekin agar aapko call karne par ring sunai de. To iska matlab hai ki aap whatsapp par blocked nahi hai.

#5 Add Contact to Group

Agar aapne upar diye sabhi tarike use kiye aur fir bhi aapko pata nahi chal paa raha hai. Ki whatsapp par block kisne kiya hai. To finally aapko ek whasapp group create karna hai. Aur jiss user par aapko block karne ka doubt hai. Usse uss group me add kare aap lakh koshish kar le lekin vo user uss group me add nahi hoga.

Jaise hi aap uss user ko group me add karenge. To aapko ek message “Couldn’t add username” show hoga. Agar aapko block karne wale user ko whatsapp group me add karte time ye message show hota hai. To ye confirm hai ki usne aapko whatsapp par block kar diya hai.

So friends ab aap samajh hi gaye honge ki aapko whatsapp par block kisne kiya iska kaise pata karte hai. Post helpful lage to isse apne friends ke sath share jarur karna. Aur agar aapke paas whatsapp blocking se related koi sujhav hai. To comment box me apna sawal jarur puche.

Video Dekhe

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.