Uncategorized

Dead Link Checker Tool Se Website Broken Link Check Kaise Kare

Dead link checker tool se website broken link check kaise kare aaj ki iss post me mein aapko batane wala hu. Agar aap ek blogger hai to aap ye jarur chahenge ki aapke blog par high quality traffic ho. Aur iske sath hi aap apni website ko jaldi se google adsense se approved bhi karwana chahte hai. To aapko google terms and conditions ke according apne blog ko update karna hoga.

Kai baar google adsense account approved nahi hone ki vajah broken link bhi ho sakti hai. Isliye agar aap new blogger hai to aapko apni site par broken link ko time to time fix karte rehna hoga. Broken links kya hai iske kya nuksan hai aur dead link checker tool se website broken link check kaise karte hai iss post hum janenge.

Blog post me do tarah ke links hote hai (1) External links – ye vo links hote hai jo hum other website me refer karne ke liye apni site par add karte hai. (2) Internal Links – ye vo links hote hai jo hum apni other post me bhejne ke liye blogpost me add karte hai.

Aksar aisa hota hai ki hum apni purani post ko delete kar dete hai aur hame ye dhyan bhi nahi rehta hai ki jo post hum delete kar chuke hai vo humari dusri kaun kaunsi post se linked hai aur inhi deleted post links ko dead links ya broken links kahte hai.

Broken Link Se Kya Kya Nuksan Hai

1. Blog traffic par bura asar :- Jyada broken links ki vajah se aapki blog ki traffic par kafi bura asar padta hai. Kyuki jab koi visitor aapki dusri post links par click karta hai to dead link hone ki vajah se post open nahi hoti hai aur aisa 4-5 baar karne par aapke visitors naraz ho sakte hai aur aapki site par dubara visit bhi nahi karte hai.

2. Google Adsense Aproval Me Dikkat :- Jab aapki request par google adsense aapki site ko scan karta hai to dead links ya broken links ki vajah se adsense account approved nahi karega.

Dead Link Checker Tool Se Website Broken Link Check Kaise Kare

Ab aap jarur ye soch rahe honge ki hum to itni sari post publish kar chuke hai to kis kis post me broken link honge ye kaise pata karenge. To iska solution mein niche iss post me aapko batane wala hu ki aap kis tarah se dead link checker tool se website broken link ka pata kar sakte hai.

Step 1

Sabse pehle aapko Broken link checker ke link ko open karna hai.

  1. Yahapar apni site ka URL enter kare.
  2. Security code enter kare.
  3. Find broken links now ke button par click kare.

Step 2

Agar aapki site par broken link ya dead link honge to agle page me aapko vo show ho jayenge. Jiske baad aap unn post me jakar dead links ko delete kar sakte hai.

  1. Yahapar show hoga ki kitni post me broken links hai.
  2. Yahapar (src) par click karke aapko dead link milega usse note kare.

Step 3

Website broken link ka pata karne ke baad ab aapko apne blog dashboard me login karna hai. Agar blogger par blog hai to isme login kar lijiye.

  1. Template par click kare.
  2. Edit HTML ke button par click kare.

Ab aapke blog ka editor section open ho jayega to yahapar aapko Ctrl + F key press karke note kiya hua dead link search karna hai aur finally usse delete kar dena hai. To iss tarah se aap easily online dead link checker tool se website broken link check karke unhe fix kar sakte hai.

I hope, online dead link checker tool se website broken link check kaise kare aur fix kaise kare aapko ye jankari helpful lagi hogi. Agar aapko ye post acchi lagi hai to isse share jarur kare aur aapka koi saval ya sujhav ho to niche comment me jarur bataye.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

3 thoughts on “Dead Link Checker Tool Se Website Broken Link Check Kaise Kare

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.