SOCIAL NETWORKWHATSAPP

Whatsapp Status Save Kaise Kare Bina Screenshot Liye

Bina screenshot liye whatsapp status save kaise karte hai aaj iss post me mein aapko batane wala hu. To agar aapko kisi whatsapp contact ka status pasand aaye. Aur aap uske whatsapp status ko apni mobile gallery me save karna chahte hai. To iss video me bataye gaye tarike ko follow kare. Aur jane ki aap kis tarah se whatsapp status ko apni mobile phone ki gallery me save kar sakte hai.

Instant messeging app whatsapp aaye din apne features me update kar raha hai. Aur inn features me se ek hai status feature. Jisse logo dwara bahut pasand kiya ja raha hai. Whatsapp ke status feature ke through aap links, photos, videos share kar sakte hai.

Lekin agar aapko koi whatsapp status apni mobile gallery me save karna ho to ye thoda sa muskil ho sakta hai. Kyuki whatsapp me aisa koi option hi nahi hai. Jisse aap koi whatsapp status mobile gallery me save kar sake. Aise me bhot se users whatsapp status ka screen shot lete hai. Aur phir usse crop karte hai.

Lekin iss post me jo trick mein aapko batane wala hu. Uski help se aap bina koi application install kiye whatsapp status ko apni mobile gallery me pahucha sakte hai. To kya hai ye whatsapp status ko gallery me save karne ka tarika chaliye iss post me janate hai.

Bina Screenshot Liye Whatsapp Status Save Kaise Karne

Dosto whatsapp status ko apni mobile gallery me save karna bahut hi simple hai. Agar aapko kisi user ka whatsapp status pasand aaye to kis tarah se aapko save karna hai. Iske liye niche diye steps ko sahi se follow kare.

Step 1

Sabse pehle apne mobile phone me My File folder ko open kare.

Step 2

My file ke ander ab aapko Internal storage par click karna hai.

Step 3

Ab top rightside me 3 dots par click kare aur Setting me jaye.

Step 4

Ab jo next window open hogi yahapar bottom side me Show Hidden File Files ke option ko enable kare.

Step 5

Wapas Internal storage me back aa jaye aur Whatsapp option me click kare.

Step 6

Whatsapp option me bottom side me Media option par click kare.

Step 7

Media folder ke ander aapko topside me Statuses ka option mil jayega. Aur yaha se aap whatsapp status ko gallery ke kisi bhi folder me save kar sakte hai.

So friends ab aap samajh hi gaye honge ki whatsapp status ko apin mobile gallery me save kaise karte hai. Agar aapko ye trick pasand aaye to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.