WhatsApp Two Step Verification Code Enable Kaise Kare | Enable Two Step Authentication Code
Whatsapp two step verification code enable kaise kare yani apne whatsapp account ki security ko aur bhi jyada strong karne ke liye aap usme two step authentication code kaise enable kar sakte hai aaj ki iss post me mein aapko batane wala hu. To agar aap bhi apni apne whatsapp account ki security ko lekar serious hai to iss post me bataye steps ko sahi se follow kare.
Apne whatsapp account ko more safer aur more secure banane ke liye aapko whatsapp ke privacy feature me two step verification option ko jarur use karna chahiye. Agar aap apne whatsapp account me two step verification code ko laga dete hai to ko bhi hacker aapko whatsapp account ko hack nahi kar sakta hai.
- Whatsapp Me Aapko kisne Block Kiya Kaise Pata Kare
- WhatApp Status without Screenshot kaise Save kare
WhatsApp Two Step Verification Code Enable Kaise Kare | Enable Two Step Authentication Code
Whatsapp me two step authentication code enable karke aapki whatsapp security kafi had tak tight ho jayegi isliye aapko apne whatsapp account me isse jaldi se jaldi enable kar dena chahiye. Whatsapp two step verification code enable kaise karte hai chaliye step by step janate hai.
#1. Sabse pehle apna whatsapp open kare. Aur top rightside me 3 dots par click kare.
#2. Ab kuch option aayenge to inme Settings par click kare.
#3. Setting me aapko Account option par click kare.
#4. Ab Two step verification ke option par click kare.
#5. Ab next par me Enable ke button par click kare.
#6. Iske baad next page me aapko apna pin enter karna hai. Koi bhi code enter kar sakte hai.
#7. Dubara se Pin verify kare.
#8. Ab next interface me email enter kare.
#9. Dubara se email verify kare.
#10. Finally Save button par click kar dijiye.
Lijiye save button par click karte hi aapke whatsapp account me two step authentication code enable ho jayega. Ab aapke whatsapp ko koi bhi hacker hack nahi kar sakta hai.
I hope whatsapp two step verification code enable kaise karte hai ab aap samajh gaye honge. Agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath share jarur kare. Aur agar aapka koi sawal hai to niche comment box me apna sawal puch sakte hai.
Video Dekhe