WHATSAPP

Whatsapp Par Face Lock Kaise Lagaye – How to Enable Facelock on Whatsapp

Whatsapp par face lock kaise lagaye aaj iss post me hum janenge, to agar aap apne whatsapp messenger ki security ko aur bhi jyada strong banana chahte hai, to facelock ka use kar sakte hai.

Whatsapp par two step verification code enable karke ya fir fingerprint lock lagakar aap iski security ko aur bhi strong bana sakte hai. Lekin agar aap whatasapp ki security ko aur bhi jyada tight karna chahte hai to aap facelock ka use kar sakte hai.

Face lock enable karne ke baad whatsapp aapke face ko read karke aur aapki voice ko pehchan kar hi open hoga. Aise me koi other person aapke whatsapp ko open nahi kar payega, jab tak aap usse open karke nahi dete hai.

Whatsapp Par Face Lock Kaise Lagaye – How to Enable Facelock on Whatsapp

Whatsapp par face lock enable karna bahut hi aasaan hai bus iske liye aapko niche diye easy steps ko follow karna hai. To chaliye start karte hai aur janate hai ki whatsapp par face lock kaise lagaye.

1 Sabse pehle playstore se Applock App install kare.

2 Ab isse open kare aur terms and condition ko accept karke sabhi permissions ko allow kar dijiye.

3 Next interface me Create your own unlock phrase par click kare.

4 Ab next interface me create your own unlock phrase ke box me koi word type kare. For example:- Hi, hello, etc.

5 Iske baad next page me Skip to enrollment ke option par click kare.

6 Next interface me front mobile camera open hoga to yahapar aapko 3 time set kiya phrase bolna hai aur verify karna hai.

7 Iske baad ek alternative method puch jayega unlock karne ke liye to yaha se aap Pattern, pin ya password set karna hai.

8 Iske baad next page me Go to android settings button par click kare.

9 Ab aap app lock par click karke usage data access ko on kare.

10 Iske baad next interface me aapke samne phone ki sabhi applicatoins aa jayengi, to yahapar Whatsapp ke samne last tick box par tick kar dena hai.

Lijiye aap ka kaam ho gaya ab aap apne whatsapp ko open karenge to mobile ka front camera open hoga aur yahapar aapko apna phrase bolna hai. jiske baad hi aapka whatsapp open hoga other nahi.

So iss tarah se aap whatsapp par face lock laga sakte hai, i hope aapko ye jankari helpful lagi hogi. Post acchi lagi ho to isse apne dosto ke sath bhi share jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.