WHATSAPP

Whatsapp Fingerprint Lock Kaise Enable Kare – Whatsapp Privacy Setting

Whatsapp fingerprint lock kaise enable kare aaj ki iss post me mein aapko batane wala hu. To agar aap nahi janate hai whatsapp me finger print lock kaise add karte hai to iss post ko end tak padhe.

Whatsapp apne user ke liye aksar naye naye features provide karta rehta hai taki unka user experience better ho sake. Aise me whatsapp ki privacy ko dhyan me rakhte huye whatsapp ne apne features me fingerprint lock ko add kiya hai.

So agar aap bhi apni whatsapp privacy ko lekar kafi serious hai to iss feature ka use kar sakte hai. Aur whatsapp me fingerprint lock kaise lagate hai iski puri jankari ke liye niche diye gaye steps ko follow kare.

Whatsapp Fingerprint Lock Kaise Enable Kare- Whatsapp Privacy Setting

Whatsapp par fingerprint lock start karna bahut hi easy hai bus aapko isse ek baar enable karna hai uske baad jab bhi aap apne whatsapp ko open karenge to isme aapko apni finger impression ko lagana hoga jiske baad aapka whatsapp open hoga. Chaliye ab aapka jyada time na lete huye step by step janate hai.

1 Sabse pehle apna Whatsapp open kare.

2 Ab top right side me 3 dots par click karke Settings me jaye.

3 Settings me Account option par click kare.

4 Ab Privacy option par click kare.

5 Iske baad bottom side me scroll kare aur Fingerprint lock option par click kare.

6 Ab next page me Unlock with fingerprint option ke samne Toggle button ko enable kare.

7 Ab ek popup open hoga isme aapko Setup fingerprint option par click karna hai.

8 Iske baad aap apne phone ki settings me pahuch jaoge to yahapar aapko Fingerprint scanner par click karna hai.

9 Ab aapko apne finger print scan karne ka demo show hoga to yahapar aapko thik iss tarah se phone ki sensor key par apni fingers ko touch karna hai. Iske baad Done ke option par click kare.

10 Iske baad next interface me Turn on ke option par click kare.

Turn on karte hi aapke phone settings me aapke fingerprint add ho jayenge aur aapke whatsapp account par bhi fingerprint enable ho jayega. Ab jab bhi aap apne whatsapp app ko open karenge to aapse fingerpring use karne ke liye kaha jayega.

Aur fingerprint lagakar aapka whatsapp open hoga otherwise koi aur byakti aapke whatsapp ko open nahi kar payega.

I hope aap samajh gaye honge ki whatsapp me fingerprint kaise enable karte hai. Agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne dosto ke sath share jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.