DOMAIN & HOSTINGWORDPRESS

CPanel Password Change or Reset Kaise Kare – Hostgator India Hosting

Cpanel password change or reset kaise kare aaj ki iss post me aapko batane wala hu. To agar aap bhi apne webhosting ke cpanel ka password bhool gaye hai. Aur cpanel password ko reset karna chahte hai to iss post me batye easy steps ko follow kare.

Hosting purchase karne par webhosting company aapko email send karti hai. Jisme cpanel ki login detail hoti hai. Ye login detail auto generated hoti hai aur isme password kafi strong aur difficult hota hai. Jisse yaad rakh pana thoda muskil hota hai.

Aise me kai user uss detail ko kahi par not nahi karte hai aur aise me email hi delete ho jaye to cpanel me login karna aur bhi muskil ho jata hai. Vaise to chahe aapko password yaad ho ya nahi aap dono hi conditions me apne webhosting ke cpanel ka password change or reset kar sakte hai.

Lekin fir bhi bhot se aise users hai jo nahi janate ki cpanel password change or reset kaise karte hai. Isliye iss post me mein aapko cpanel password reset karne ki puri process step by step bata raha hu. To chaliye shuru karte hai.

CPanel Password Reset Kaise Kare – Hostgator India Hosting

Mene hostgator india se hosting purchase ki hai to mein yahapar aapko hostgator india ki webhosting me cpanel ka password reset karke bataunga. Vaise sabhi web hosting platforms par cpanel password change or reset karne ka tarika ek jaisa hi hota hai. To chaliye ab step by step janate hai wordpress cpanel ka password kaise change karte hai.

Step 1

Sabse pehle apne webhosting account me login kar lijiye.

CPanel Password Change or Reset

  1. Manage Orders par click kare.
  2. List/Search Orders par click kare.

Step 2

Ab jo next page open hoga isme apne domain name ke link par click kare.

CPanel Password Change or Reset

Step 3

Iske baad jo agla page open hoga isme thoda sa niche ki taraf scroll kare. Yahapar aapko cPanel Details ke option par click karna hai.

CPanel Password Change or Reset

 

Step 4

Ab ek popup window open hogi isme aapke webhosting ke cpanel ka direct URL. Aur cpanel login details hogi. Yahapar aapko Change password ke link par click karna hai.

CPanel Password Change or Reset

Step 5

Change password par click karte hi ek aur popup window open hogi. Isme aapko apni webhosting ke cpanel ke new password enter karna hai. Password minimum 8 characters aur maximum 15 characters ka hona chahiye.

Aur koi dot, comma or space nahi use karna hai. First character caps me 2 special characters (forexample: @, #, etc) hone chahiye. Iske sath hi cpanel password me numerics ka bhi add kare.

CPanel Password Change or Reset

  1. New cpanel password enter kare.
  2. Change password ke button par click kar dijiye.

Change password button par click karte hi aapke hosting account ke cpanel ka password reset ho jayega. Aur password change successfull ka message aapko show hoga niche image me dekh sakte hai.

CPanel Password Change or Reset

So friends iss tarah aap apne webhosting ke cpanel ka password change kar sakte hai. Agar post helpful lage to apne friends ke sath bhi share jarur karna.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.