WHATSAPP

Whatsapp Secret Trick Intruder Security Alarm Ka Use Kaise Kare

Whatsapp secrete trick intruder security alarm ka use aap kaise kar sakte hai aaj ki iss post me hum janenge. To agar aap bhi whatsapp ki latest trick ke bare me janana chahte hai to iss post ko dhyan se padhe.

Whatsapp ki iss trick ka use karne ke liye aapko playstore se ek application install karni hai, jiska name hai App lock with intruder alarm  jiske baad aap easily apne apne whatsapp par intruder alarm set kar sakte hai.

Jaise hi aap intruder alarm set kar lenge uske baad koi bhi aapke whatsapp par lage lock ko open karenga to 2 baar galat password enter karne par alarm bajega, jisse aapko pata chal jayega ki koi aapke whatsapp ko open karne ki koshish kar raha hai.

Iss alarm ko aap apne android smart phone me kisi bhi application me use kar sakte hai. Bus aapko uss app ko select karke ye feature enable kar dena hai. To chaliye start karte hai aur jante hai ki iske liye aapko kya karna hai.

Whatsapp Secret Trick Intruder Security Alarm Ka Use Kaise Kare

1 Sabse pehle Playstore se App lock with intruder alarm app ko install kare.

2 Ab iss app ko jaise hi open karenge ek popup me security type select karne ke liye kaha jayega to aap yahapar Pattern ya password me koi bhi ek select kar sakte hai. Iske baad password set karke usse verify kare.

3 Iske baad jo next interface open hoga isme aapko apni ek Recovery email enter karni hai aur Save par click karna hai.

4 Ab next interface me aapke mobile ki sabhi applications aayengi to yahapar aapko top left side me 3 lines par click karna hai.

5 Ab jo options aayenge isme Tools par click kare.

6 Next interface me Intruder alarm section me Attempt failed allowed ke samne uss number ko select kare jitne wrong password attempt me aap alarm play karna chahte hai. Agar aap yahapar 1 select karenge to 2 atempt me alarm bajega, agar aap 2 select karenge to 3 attempt me alarm play hoga, iske baad aapko back aana hai.

7 Ab jo application list hai isme whatsapp ke samne Lock ke icon par click kare aur jo popup open hoga usme Allow par click kare.

8 Iske baad aap apne mobile setting ke ussage access me pahuch jaoge yahapar aapko applock par click karke isse enable kar dena hai.

9 Ab aapko back aana hai aur app list me whatsapp ke samne Lock par click karke enable kar dena hai. Yahapar aap other application par lock enable karke alarm on kar sakte hai.

Lijiye aapka kaam ho gaya hai ab aap apne whatsapp messenger ko open karenge to usse pehle password enter karne ka option aayega.

Agar koi other person galat password enter karega to turant alarm bajna start ho jayega. Aur aapko pata chal jayega ki koi aapke whatsapp ko open karne ki koshish kar raha hai.

I hope ab aap whatsapp secret trick intruder security alarm ke bare me samajh gaye honge. Agar jankari helpful lagi ho to isse jyada se jyada share kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.