SEO

SEO Score Checker Tool Se Blog or Website Ka SEO Status Kaise Check Kare – Free Tool

SEO score checker tool se blog or website ka seo status kaise check kare aaj ki iss post me mein aapko batane wala hu. SEO score test karke aap apne blog ko analysis kar sakte hai. Aur apni website analysis karke aap uska good aur bad SEO score pata kar sakte hai.

Agar aap ek new blogger hai aur blogging me success pana chahte hai, to aapko apni site optimization karne ke liye, SEO score checker tool ka use jarur karna chahiye. Kyuki iss free webstite analysis tool ki help se aapko ye pata chal jayega ki aapki site par kya kya kamiyan hai.

Agar aap apne blog ya website par SEO ko sahi se implement nahi karte hai to aap apni site par quality traffic ko increase nahi kar sakte hai. Aur agar aapki site par quality traffic nahi aayega to aap accha Revenue generate karne me fail ho sakte hai. Bahut se newbies hai jinki site par quality traffic bahut kam tha aur iss vajah se unhone blogging ko chhod diya hai.

Isliye blogging me success hone ke liye aapko apni site ka sahi SEO (search engine optimization0 karna behad jaruri hai. Agar aapki site ka SEO score better hoga, to isme koi doubt nahi hai ki aapki site par huge aur quality traffic hoga. Agar aap apni site par SEO ko sahi se follow karte hai, aur pata lagana chahte hai ki aapki site ka seo score kya hai. To niche diye steps ko follow kare.

SEO Score Checker Tool Se Blog or Website Ka SEO Status Kaise Check Kare – Free Tool

Apni site ka free seo test karne ke liye aapko woorank.com site ko open karna hai. Woorank ek free SEO score checker tool hai. Aur woorank.com ki help se aap bilkul free me apne blog ka seo score test kar sakte hai. SEO score test karne ke baad apni site optimization kar sakte hai. Aur uska seo score pehle se jyada better banane ki koshish kar sakte hai. Chaliye ab step by step jaan lete hai ki apni site ka seo score test karne ke liye kya karna hai.

Step 1

Sabse pehle aapko Woorank.com ke iss link par click karna hai.

  1. Box me apni site ka URL enter kare.
  2. Try it for Free button par click kare.

 

Step 2

Ab jo next page open hoga isme aapki site ki seo score report show ho jayegi. Aur yahapar topside me aap apni website ka SEO score rank check kar sakte hai. Jaise ki hinglishhelp.com ka seo score 64 bata raha hai.

Yahapar mein aapko ek baat bata du ki agar aapki site ka score 80 plus hai to excellent hai. Agar 60 – 80 ke beech me hai to very good hai. Agar 40 – 60 hai to good hai aur agar 40 se kam hai to ye bad score mana jata hai.

To chaliye ab jaan lete hai ki woorank.com site par seo score test me aap seo, site speed, backlinks detail, social media connectivity, broken links, mobile usability ke alawa aur kya kya check kar sakte hai.

  1. Titel, tags, meta description aur google preview check kar sakte hai.
  2. Blog post me heading kaun kaunsi use kar chuke hai.
  3. Apni website seo score me aap google pagerank aur alexa rank check kar sakte hai.
  4. Google page indexing ko check kar sakte hai.
  5. Aapki site par total backlinks kitne hai.
  6. Mobile friendliness, mobile rendering. Yani ki mobile par site kis tarah perform kar rahi hai kya response hai.
  7. Desktop aur mobile visibility kya hai kis tarah ki speed mil rahi hai.
  8. On-page seo aur off-page seo report.
  9. Website ki total monthly estimated traffic report dekh sakte hai.
  10. Mobile frameworks, font size legibility, AMP (accelerated mobile pages) aur mobile view report check kar sakte hai.
  11. Site URL, favicon, custom page error, language aur font style check kar sakte hai.
  12. Google analytics aur ssl aur encoding check kar sakte hai.
  13. Keyword aur visitors sessions dekh sakte hai. Kis country se jyada quality traffic generate ho raha hai. Visitors ki location kya hai.
  14. Web directories aur social connections check kar sakte hai.

SEO score report me ye kuch important points hai jo apko apni site ko seo score checker me enter karte hi show hote hai. Iske alawa bhi kaafi kuch hai jo aap seo score checker tool me bilkul free me check kar sakte hai.

Woorank ek free seo score checker tool hai aur iss tool ke alawa bhi aapko internet par bahut se free tool mil jayenge. Jahase aap apni site ka free seo test kar sakte hai. Lekin other seo score checker tools se mujhe woorank tool kafi accha laga. Isliye iske bare me mein aap bata raha hu.

Isliye aapko iss free seo tool ka use jarur karna chahiye, khastaur se agar aap ek new blogger hai to aapko to jarur isse istemal karna chahiye. Aur seo score test me jo bhi minus point aapko milte hai unhe apne according thik karne ki koshish kare.

So friends aaj ke liye bus itna hi, i hope aap woorank seo score checker tool ka use kaise karna hai samajh gaye honge. Agar aapka koi sawaj ya sujhav ho to niche comment box me jarur puche. Aur agar aapko ye post helpful lage aur aap chahte hai isse aapki friends ko bhi benefit mile to isse social sites par unke sath share jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

2 thoughts on “SEO Score Checker Tool Se Blog or Website Ka SEO Status Kaise Check Kare – Free Tool

  • hi meri wife ko bhut pasnd aaya h blog aapka kya aap usko blog banane me help krege

    Reply

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.