SEO

Google AdWords Kya Hai Aur Website/Blog Ke Liye Google Adwords Jaruri Kyu Hai

Adwords, google ki ek bahut hi popular aur best advertising service hai. Jiske through google search engines me apni website ke google ads show kar sakte hai. Koi business ho ya koi online site google adwords  ek best way hai usse grow karne ke liye. To friends agar aapki koi website hai ya aap koi business karte hai to google adwords ke bare me aapko pata hona jaruri hai.

Agar aap janana chahte hai ki google adwords kya hai. Aur website ke liye google adwords kyu jaruri hai. To iss post ko dhyan se padhe kyuki yahapar mein aapko google adwords ki puri jankari dene wala hu. to chaliye shuru karte hai aur janate hai ki google adwords kya hai aur website or blog ke liye google adwords kyu jaruri hai.

Google AdWords Kya Hai Aur Website/Blog Ke Liye Ye Jaruri Kyu Hai

Agar aap janana chahte hai ki google adwords kya hai. To mein aapko bata du ki ye google ki ek aisi service hai. Jiska use karke aap apne business ya website ko kam se kam time me time me jyada se jyada grow kar sakte hai.

Yani ki apni website or business ke ads ko right audience tak pahucha sakte hai. Aur ye ek paid site hai jisme aap thoda money invest karke safalta ki uchaiyo ko chhu sakte ho.

Agar aap google adwords service ka istemal karte hai. To iske baad jab bhi koi user search engines me aapki site se related keywords search karega. To search resulte ke right sight me aapke business ya website ke ads show honge.

Aur phir unn ads par click karke visitors aapki site par visit karte hai. Jisse aapki site ka traffic rank badhta hai. Aur logo ko uske bare me jyada jankari milti hai.

To ab aapka ye doubt door ho gaya hoga ki google adwords kya hai. Aur aap ye jaan gaye honge ki google adwords ek advertising site hai. Jiski help se aap apne business aur website ko promote kar sakte hai.

Google AdWords Kaam Kaise Karta Hai

Google adwords service koi join karne ke baad jaise hi aap iska use karte hai. To ye google search engines aur other search engines me bhi apki site se related google ads ko show karta hai.

Yani ki jab bhi koi user search engines me aapki business ya website se related keywords search karta hai. To search result me right side me aap kuch iss tarah ke google ads dekh sakte hai jaise niche image me hai.

google adwords kya hai

Apne business ya website me adwords ads lagane ke liye aapko thoda bahut pay karna hoga. Jisme aapko campaign set karna hoga ki aap per click kitna pay kar sakte hai. Aur jab bhi search engines me aapki site ki ads par click karke traffic aayega to aapko uske according pay karna hota hai.

Adwords campaigning aap apne according choose kar sakte hai. Jiss tarah se aap apne business ke liye campaign select karenge aapka budget bhi ussi ke according hoga. Lekin agar aap google adsense ka use google ads ke liye karte hai to adwords aapke kaam nahi aayega. Kyuki adsense ki terms and conditions me paid traffic allow nahi hai.

Isliye agar aap apne google adsense account ko safe aur secure rakhna chahte hai. To aapko google adwords ka use nahi karna chahiye. Apni website me traffic increase karne ke liye aap adsense friendly tariko ka use kar sakte hai.

Google Adwords Website Ke Liye Kyu Jaruri Hai

Google adwords all world me biggest online advertising network ban chuka hai. Agar aapki koi website hai ya aap koi small business karte hai. To aapko google adwords ka use karna hi chahiye kyuki adwords small business ko grow karne ke liye ek powerfull tool hai.

Agar aap online apni business ya website ko promote karna chahte hai. Aur chahte hai ki aapki site par kam se kam time me jyada se jyada right aur quality traffic aaye. To aapko google adwords ka use karna chahiye. Kyuki ye vo method hai jiski help se aap apne business ko smart tarike aur kam mehnat se aur bhi jyada improve kar sakte ho.

Google adwords aapki site ko top rank par lata hai aur site traffic rank bhi increase karta hai. Isliye agar aap koi business karte hai ya koi e-commerce website chalate hai. To aapko google adwords ki iss best service ka use jarur karna chahiye. Lekin jaise ki main aapko upar bhi bata chuka hu ki agar aap google adsense ka use karte hai to aapko google adwords service ka bilkul bhi use nahi karna chahiye.

5 Reason: Google Ads Small Business Ke Liye Better Kyu Hai

Small business ke liye google ads sabse accha aur best way hai. Google ads ki help se aap apne business ya fir online website ko nai uchaiyo tak pahucha sakte hai. To chaliye ab 5 reason ke bare me jaan lete hai ki kyu google ads small business ke liye better hai.

#1 Different Ways to Advertisement

Agar aap apne business ke liye purane tariko ko use kar rahe hai to ye aapki sabse badi bhool hai. Kyuki aisa karne se aap keval limited area tak hi apne business ko pahucha sakte hai. Lekin google ads ki help se aap apne business ko online promote kar sakte hai. Aur limited area se broad areas me apne business ko pahucha sakte ho.

Google adwords plateform aapke brand ko right consumers tak pahuchane ke liye multiple tarike offer karta hai. Different search engines me aapke business se related google ads show karta hai. Iske sath hi app ads ke through bhi aapke business ko promote kiya jata hai.

Apne brand ko nayi uchaiyo tak pahuchane ke liye google ads better marketing solution hai. Aapko apne consumers se jodne ke liye Google adwords platform par bahut se tarike hai. Aap khud hi choose kar sakte hai ki aapke liye kounsa tarika better rahega.

Iske alawa aur bhi tarike hai jisse aapka business ek dum se grow hone lagta hai. Isliye aapko purane tariko ko chhodkar. Google ads ko ek baar jarur use karna hai, agar aap apne business ko badhane ke liye serious hai to.

#2 Target Your Audience

Har vo visitors jo aapki site par visit kare ya jo aapke google ads par click kare. Jaruri nahi ki aapka vo aapka ideal customer ho. Aur aap jo product sale karte hai usse vo easily buy kar le. Ho sakta hai ki uss customer ko aapke product me interest na ho. Ya fir jo aap service privide kar rahe hai vo uske budget me hi na ho.

Google ads marketing ka kaam hai ki sahi time par sahi customers ko aapke products ke bare me sahi jankari dena. Na ki aap apne visitors ko apne products purchase karne ke bare me force karenge. Lekin jitne bhi visitors aapke google ads par click karenge. Ho sakta hai ki vo aapke products me interest rakhte ho. Aur products ko purchase bhi karna chahte ho. Isliye targeted customers ki understanding aapki business success ke liye bahut jyada matter karti hai.

Kisi specific locality ya location ko target karke aap aise ads create kar sakte hai. Jo uss perticular location ke according fit bethti ho. Iss tarah se aap chote se chote corner tark apne business ko le ja sakte hai. Isliye business profits ke liye aapko geographical targeting ka use jarur karna chahiye. Perticular audience ko target karke aap right message ko right consumer tak pahuchane me kaafi time bhi save karte hai.

#3 Target Specific Location

Internet ki iss duniya me kisi bhi products ko logo tak pahuchana bahut aasaan ho gaya hai. Yani ki koi bhi business ho google ads usse grow karne me kaafi help karta hai. Yani ki agar aap koi business karte hai. Aur usse pehle se bhi jyada badhana chahte hai. To google ads isme aapki kaafi help kar sakta hai.

Lekin iska ye matlab bhi nahi hai ki aap koi product promote karenge. To aapke targeted customer ko pasand aayega. Ya targeted customers usse purchase hi kar lenge. Matlab sidha sa hai ki agar aap winters me freeze ya air condition ki advertisement karenge. Ya kisi garm area jaise south india me aap woolen clothes sale karenge. To aapko inn products ki sale karne me kaafi problems aa sakti hai. Aur ho sakta hai ki usse koi customers kharide hi nahi.

Isliye kisi specific location ko pinpoint karke aap product ki advertisement karna best way hai. Aur google ads aapko location targeting option offer karta hai. Jisme aap kisi specific location ko target karke apne products salel kar sakte hai. Location targeting se aap apne google ads ko kisi perticular area, location. City, state ya fir kisi country me easily serve kar sakte hai aur unhe target karke product salef kar sakte hai.

#4 Advertise Within Your Budget

Mostly small business apne limited budget ke according products ki promotion karte hai. Yani ki aapko ye bhi decide karna hai ki aapke business marketing ka jo tarika hai. Vo aapke budget me fit ho raha hai ya nahi.

Aise me agar agar aap advertisement me jo invest karte hai. Agar vo aapke budget se kahi jyada hua to aap apne campaign ke bare pehle kaafi soch vichar karenge. Ki isse aapko kitna benefit hone wala hai. Aur aisa sochna bilkul sahi bhi hai.

Inn baato ka dhyan rakhte hue google ads aapko apne budget ke according advertisement karne ka offer provide karta hai. Isliye kisi month me agar aapke paas ads campaigning ke liye low budget hai. To google ads ki help se aap apne ads campaing ko modify kar sakte hai.

Aap apne har ek google ads campaigning ko ek planing ke sath kar sakte hai. Isliye isse ads campaigning me aapke low budget se koi khas fark nahi padega. Yani ki aap apne low budget ke according apne business ya apni kisi site par jyada aur quality traffic generate kar sakte hai.

#5 Google Ads Analytics

Google adwords advertisers ko ads campaign ki report bhi provide karta hai. Yani ki aap apne audience ke behaviors aur interest ko bhi check kar sakte hai. Isse aap apne ads campaigns ko beech me bhi modify kar sakte hai.

Isliye agar aap apne business ko grow karne ke liye google ads ka use karte hai. To apne ads campaigning ke analytics ko aapko time to time check karna chahiye. Aur audience behavior ke according usme kuch na kuch adjustmenmt karte rehna bhi jaruri hai.

Tracking performance aapko aapke audience ke interest aur behavior ke bare me bhi jankari deta hai. Isse google ads campaigning ko modify karne me aur bhi jyada help milti hai.

So friends ab aap samajh hi gaye honge ki google adwords kya hai aur website ya kisi small business ke liye ye kyu jaruri hai. Agar aapko google ads yani ki google adwords se related ye jankari helpful lagi ho to isse apne social media friends ke sath bhi jarur share kare. Aur agar aapka koi sujhav ya saval hai to niche comment box me jarur puche.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

One thought on “Google AdWords Kya Hai Aur Website/Blog Ke Liye Google Adwords Jaruri Kyu Hai

  • Ganesh debbarma

    Wawawa payment Google AdWords paisa kama sakta Hain Kiya sir

    Reply

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.