ANDROID

Mobile Ki All Setting Reset Kaise Kare

Mobile ki all setting reset kaise kare iss post me hum janenge so agar aap android smartphone ka use karte hai aur apne phone ki all settings ko reset or restore karna chahte hai, sabhi settings ko pehle jaise banana chahte hai to iss post me bataye gaye easy steps ko follow karke aap apne phone ki settings ko full reset kar sakte hai.

Aksar hum apne phone ki bahut saari settings ko apne according customize karke change karte rehte hai aise me hume ye yaad nahi rehta ki kaun kaunsi settings ko humne change kar diya hai aur ab unn sabhi settings ko wapas reset kaise kare, aise me best option hai apne phone ki all settings ko reset karna.

Mobile phone ki settings ko full reset karna bahut hi aasaan hai aap kuch hi minutes me apne phone ki sabhi settings ko pehle jaise set kar sakte hai, lekin mostly users ko iske bare me pata nahi hota hai isliye agar aap bhi phone settings ko restore karna nahi janate hai to niche diye easy steps follow kare.

Mobile Ki All Setting Reset Kaise Kare

1 Sabse pehle apne Android phone ki Settings open kare.

2 Iske baad settings page me System option par click kare.

3 Ab system settings me Reset options par click kare.

4 Iske baad next interface me 4 options aayenge inme:-

  • Reset Wi-fi, mobile and bluetooth option par click karke mobile data, wi-fi aur bluetooth ko reset kar sakte hai.
  • Reset app preferences option par click karke apps ki settings ko restore kar sakte hai.
  • Reset all settings option par click karke mobile ki all settings ko full reset kar sakte hai.
  • Delete all data (Factory reset) option par click karke mobile phone ko full reset yani ki factory reset kar sakte hai.
  • Agar sirf phone ki all settings ko hi reset karna hai to yahapar Reset all settings option par click kare.

5 Iske baad next interface me bottom side me Reset all settings option par click kare.

6 Ab apne phone ke Security lock ko Unlock kare.

7 Iske baad next interface me finally Reset all settings option par click kar dijiye.

Iske baad aapke phone ki settings ka resetting process start ho jayega aur kuch hi der me aapka phone restart ho jayega, restart hone ke aap dekhenge ki aapke mobile phone ki all setting reset ho gayi hai.

Iss tarah se aap apne phone ki all setting ko reset or restore kar sakte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

 

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.