ANDROID

Android Phone Me Incoming Call Kaise Band Kare

Android Phone Me Incoming Call Kaise Band Kare vo bhi bina internet band kare iss post me hum janenge so agar aap apne mobile me sabhi incoming calls ko block karna chahte hai aur nahi janate ki kaise karte hai to iss post me mein aapko 2 methods bataunga all incoming calls ko stop karne ke liye.

Vaise to aap apne phone me aeroplane mode ko on karke sabhi calls ko stop kar sakte hai lekin agar aap sirf incoming calls ko band karke baki other online kaam karna chahte hai, online social sites ka use karna chahte hai to yahapar jo tricks mein aapko batane wala hun inke through aap bina internet turn off kare incoming call ko block kar sakte hai.

Apne android mobile phone me all incoming calls ko disable karne ke liye aapko google playstore se koi bhi third party app install nahi karni hai kyuki aapke android phone me call settings me aapko incoming call turn off karne ka option mil jayega, aise me kaisie aap incomign call ko stop kar sakte hai chaliye step by step janate hai.

Android Phone Me Incoming Call Kaise Band Kare

Apne phone me incoming calls ko block karne ke 2 methods mein aapko bataunga inn dono hi methods me se aap kisi bhi ek method ka use kar sakte hai all incoming calls ko band karne ke liye.

Method 1

1 Sabse pehle apne mobile me Phone app open kare.

2 Iske baad top right corner 3 verticle dots par click kare.

3 Ab Settings option par click kare.

4 Settings page me Calling accounts option par click kare.

5 Ab next interface me Advanced settings option par click kare.

6 Iske baad next interface me Call forwarding option par click kare.

7 Ab next interface me Always forward option ko enable kare.

8 Iske baad ek popup window open hogi isme niche diya Number enter kare.

  • +910000000000

9 Number enter karne ke baad Checkmark icon par click kar dijiye.

Iske baad aapke phone me all incoming calls band ho jayegi aur ab koi bhi aapko call ke through contact nahi kar payega. Iske baad aap apne phone me bina disturb huye dusre kaam kar sakte hai.

Agar aapko wapas apne phone me incoming calls ko turn on karna hai to iske liye aapko upar diye 6 steps ko follow karna hai aur fir Always forword option ko turn off kar dina hai.

 Method 2

1 Sabse pehle apne phone ka Dialer open kare.

2 Iske baad dialer me niche diya Code enter kare.

  • *21*1234567890#

3 Ab finally Call button par click kar dijiye.

Iske baad aapke phone me incoming call disable ho jayegi yani ki call forwarding enable ho jayegi aur koi bhi call ke through aapse contact nahi kar payega. Apne phone me fir se incoming call enable karne ke liye niche diye steps follow kare.

1 Apna phone Dialer open kare.

2 Niche diya Code enter kare.

  • ##21#

3 Iske baad Call button par click kar dijiye.

Ab aapke phone me fir se incoming call start ho jayegi, inn dono hi tariko ka use karke aap apne android mobile phone me incoming calls ko block aur unblock kar sakte hai.

I hope, ab aap samajh gaye honge ki apne phone me incoming calls ko block kaise karte hai aur wapas unblock kaise karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.