GOOGLE PAY

Google Pay Transaction History Kaise Delete Kare

Google Pay Transaction History Kaise Delete Kare iss post me hum janenge so agar aap google ki online payment service gpay ka use karte hai aur gpay transaction history delete karne ke bare me detail me janana chahte hai to iss post me aapko google pay payment transactions history ko remove karne ki puri jankari mil jayegi.

Google apne users ka mostly data collect karta hai aur aapki google payment history ko bhi collect karta hai, aise me agar koi aapke google account ko access kar leta hai to vo aapki entire google purchase history or transaction history dekh sakta hai, aise me aapko iss risk ko kam karne ke liye google payment transactions ko delete kar dena chahiye.

Agar aap apne google pay account ki payment transactions ko remove karna chahte hai aur nahi janate ki kaise karte hai to iss post me aapko apni google pay transaction history remove karne ki puri step by step jankari mil jayegi, gpay payment transactions clear karne ke liye niche diye steps follow kare.

Google Pay Transaction History Kaise Delete Kare

1 Sabse pehle apni Google pay app open kare.

2 Iske baad top right corner me apne Profile icon par click kare.

3 Ab next interface me Settings option par click kare.

4 Iske baad settings page me Privacy and security option par click kare.

5 Privacy and security setting me Data and personalization option par click kare.

6 Ab next interface me Google account link par click kare.

7 Iske baad apne google account me Passkey unlock kare.

  • Ab aap apne google account ke manage section me pahuch jayenge, yahapar aapki all gpay transaction history aapke samne aa jayegi.
  • Yahapar kisi ek transaction history ko delete karne ke liye uske samne Cross icon par click kare.

8 All transaction history ko remove karne ke liye Delete dropdown par click kare.

  • Iske baad Last hour option par click karke pichle ek ghante ki payment transactions ko delete kar sakte hai.
  • Last day option par click karke pichle din ki history remove kar sakte hai.
  • Custom range option par click karke koi bhi date range select kar sakte hai aur uss date range ki payment history remove kar sakte hai.
  • Agar aapko gpay ki all transaction history remove karni hai to Always option par click kare.
  • Iske baad next interface me bottom right corner me finally Delete option par click kare.

Iske baad aapki google pay payment transactions remove ho jayegi, iss tarah se aap apni all gpay payament history ko permanently remove kar sakte hai.

I hope, ab aap samajh gaye honge ki google pay account me apni transaction history ko remove kaise karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.