ANDROID

Mobile Phone Ki Settings Ko Reset Kaise Kare

Mobile phone ki settings ko reset kaise kare iss post me hum janenge so agar aap android phone user hai aur apne phone ki all settings ko reset karna chahte hai aur nahi janate ki phone setting ko restore kaise karte hai to ye post aapke liye hi hai.

Aksar hum phone ki alag alag settings ko customise karte rehte hai phone ki bahut si settings ko apne according manage karte hai, aise me humey yaad nahi rehta ki kaun si setting ko humne kaise change kiya hai aur ab kaise aur kaha se uss setting ko reset kare.

Aise me aap iss post me bataye easy steps ko follow karke apne android mobile phone ki all settings ko wapas reset kar sakte hai aur sabhi settings aur features ko pehle jaisa set kar sakte hai iske liye aapko kya karna hai chaliye step by step iss post me janate hai.

Mobile Phone Ki Settings Ko Reset Kaise Kare

1 Sabse pehle apne Android phone ki settings open kare.

2 Iske baad settings page me System settings option par click kare.

3 Ab system settings me Backup and reset option par click kare.

4 Iske baad next interface me Phone reset option par click kare.

5 Ab jo next interface open hoga isme Reset all settings option par click kare.

6 Iske baad next interface me apna Lock screen password enter kare.

7 Ab next interface me Reset all settings option par click kar dijiye.

Iske baad aapke phone ki all settings reset hona start ho jayengi aur kuch hi der me aapke mobile ki sabhi settings successfully restore ho jayengi.

Iss tarah se aap easily apne mobile phone ko all settings ko wapas reset kar sakte hai unhe pehle jaisa set kar sakte hai.

I hope ab aap samajh gaye honge ki mobile settings ko restore kaise karte hai, agar ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.