GOOGLE

Google Ki All Search History Delete Kaise Kare

Google ki all search history delete kaise kare iss post me hum janenge agar aap google user hai aur google par apni sabhi search kiye data ko remove karna chahte hai aur nahi jante ki google ki puri search history ko kaise clear karte hai to iss post me bataye easy steps ko follow kare.

Google search pure world ka popular aur top search engine hai jahapar users apni apne sawalo se related answers ko search karte hai, aap bhi kuch na kuch google par search karte honge, jo kuch bhi aap google par search karte hai uski alag se ek search history create hoti hai.

Apni goggle search history ko aap jab chahe tab open karke dekh sakte hai aise me agar aapko lagta hai ki aapke alawa aapka phone lekar koi aur bhi aapki google search history dekh sakta hai aur isliye apni all search history ko aap remove karna chahte hai to niche diye easy steps follow follow kare.

Google Ki All Search History Delete Kaise Kare

1 Sabse pehle Google app open kare.

2 Iske baad top right corner me apne Profile icon par click kare.

3 Ab kuch options aayenge to inme Search history option par click kare.

4 Iske baad next interface me aapki all google search history show ho jayegi to yahapar top me hi Delete option par click kare.

5 Delete option par click karte hi kuch alag alag options aayenge inme;

  • Delete today option par click kare agar current day ki all search history delete karna hai.
  • Delete custom range option par click karke aur fir koi perticular date range select karke aap uss period ki search history remove kar sakte hai.
  • Delete all time option par click kare agar all google search history clear karna chahte hai.
  • Auto delete option par option par click karke aap 3 month, 18 month or 36 month purani search history ko auto delete kar sakte hai.

Inme se 3rd wala option aapke liye better rahega agar aap currently apni all google search data ko permanently delete karna chahte hai.

Iss tarah se aap easily apne google account ke all search data ko ek click me hi clear kar sakte hai.

I hope aapko google search history ko remove karne se related ye jankari pasand aayi hogi, agar ye post helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare. 

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.