GOOGLE

Playstore Hidden Settings to Fix Phone Hang Problem

Playstore hidden settings to fix phone hang problem ke iss tutorial me hum google playstore ki 3 aisi secret settings ke baare me janenge jinko customise karke aap apne phone ki hanging problem ko solve kar sakte hai.

Phone hang kai reason se ho sakta hai jaise ki bahut saari apps ka background process run karna, aapke phone me bahut jyada photo videos hona, kafi jyada heavy apps installed hona yani ki bahut hi jyada RAM ka use hona.

Inn sabhi reasons se phone hang ho sakta hai lekin agar aisa aapke phone me jyada data storage nahi hai ya aapki RAM itni jyada use nahi ho rahi hai aur fir bhi phone hanging problem ho rahi hai to isse fix karne ke liye niche diye steps follow kare.

Playstorge Hidden Settings to Fix Phone Hang Problem

1 Sabse pehle Google playstore open kare.

2 Iske baad top right corner me apne Profile icon par click kare.

3 Ab kuch options aayenge inme Manage apps and device option par click kare.

4 Iske baad next interface me Manage tab par click kare.

5 Ab manage section me Installed drop-down par click kare.

6 Iske baad bottom side se ek pop-up open hoga isme Not installed option par click kare.

7 Ab next interface me vo sabhi apps show hogi jinhe aapne install karke uninstall kiya hoga in sab Apps ko select karke Delete kar dijiye.

8 Iske baad playstore ki Settings open kare.

9 Settings page me Network preferences option par click kare.

10 Iske baad Auto update apps option par click kare.

11 Ab ek pop-up open hoga isme Don’t auto update apps option select karke Done option par click kar dijiye.

12 Iske baad Auto play videos option par click kare.

13 Ab ek pop-up open hoga to isme Don’t auto play videos option ko select karke Done option par click kar dijiye.

Lijiye aapka kaam ho gaya iske baad aapke phone ki hanging problem solve ho jayegi agar playstore ke background process ki vajah se aapka phone hang ho raha hai to ye problem fix ho jayegi.

I hope ab aap samajh gaye honge ki google playstore ke through phone hanging problem ko fix kaise karte hai, agar ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.