BLOGGERSEOWORDPRESS

Popular Search Engines Me Submit Karke Blog Post Search Rank Increase Kaise Kare

Popular search engines me submit karke blog post search rank increase kaise kare aaj iss post me mein aapko bataunga. Agar aapka blog hai aur regular basis par aap apni blog post publish karte hai to ye post aapke liye hi hai. Kyuki iss post me hum blog post ko top search engines me rank karne ke bare me janenge.

Apni blog post ki search reank badhane ke liye aapko sabhi webmaster tools me apna blog submit karna hai aur apni har ek blog post ko unme submit karna hai. Aur jab bhi aap new post publish karenge usse bhi sabhi webmaster tools me submit jarur karna hai.

Iske liye sabse pehle aapko sabhi top webmaster tools jaise ki Google search console, Bing webmastser aur Yandex webmaster tools me sign up karna hai aur apna blog submit karna hai. Blog submit karne ke baad aapko niche diye steps follow karne hai.

Popular Search Engines Me Submit Karke Blog Post Search Rank Increase Kaise Kare

Google webmaster tool, yandex webmaster aur bing webmaster tools me apna blog submit karne ke baad ab aapko niche diye gaye steps follow karne hai.

Google Search Console

1 Sabse pehle apni new blog post link copy kare.

2 Ab google search console open kare aur top side me inspect any url ke box me paste kare.

3 Finally enter press kar dijiye.

Iske baad google webmaster tool me aapki blog post submit ho jayegi aur aapki site ki mobile usability bhi aap yaha par check kar sakte hai.

Bing Webmaster

1 Sabse pehle bing webmaster tools ki site open kare.

2 Ab bottom side me scroll kare aur diagnostics & tools heading ke niche 1st box me Fetch as Bingbot select kare. Aur second box me copied blog post link paste kar dijiye.

3 Finally submit ke button par click kar dijiye.

Yandex Webmaster Tool

1 Sabse pehle yandex webmaster ke iss link par click kare.

2 Left side menu me Indexing option par click kare.

3 Ab kuch or options open honge to yahapar Reindex pages ke option par click kare.

4 Iske baad ek box open hoga isme copied blog post link paste kare.

5 Finally Send button par click kar dijiye.

Iss tarah se popular search engines me aapki blog post submit ho jayegi aur kuch hi time me aapki post search engines me rank karne lag jayegi aur top search me show hogi.

I hope, ab aap samajh hi gaye honge ki popular search engines me submit karke blog post search rank increase kaise kare. Agar aapko ye jankari helpful lage to iss apne friends ke sath share jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

4 thoughts on “Popular Search Engines Me Submit Karke Blog Post Search Rank Increase Kaise Kare

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.