INTERNET

Lockdown Me Online Confirm Rail Ticket Kaise Paye – IRCTC Ticekt Booking

Lockdown me online confirm rail ticket kaise paye aaj iss post me mein aapko bataunga. Jaise ki aap sabhi janate hi honge corona virus rokne ke liye abhi lockdown chal raha hai. Aur ab lockdown 3 khatm ho raha hai aur lockdown 4 start hone wala hai.

Aise me desh bhar ke alag alag hisso se mazdoor apne ghar wapsi kar rahe hai, lekin bus aur train band hone ki vajah se hazaro workers saikdo kilometers paidal hi apne gaon ki or chal pade hai aur kai to apne gharo me pahuch bhi chuke hai aise me inko kafi mushkilo ka samna bhi karna pad raha hai.

Iss baat ka dhyan rakhte hue sarkar ne ab kuch special trains chalana start kar diya hai, lekin train tickets aapko rainway ticket counter par nahi milegi bulki aapko isse online book karna hoga. To agar aap bhi apne gaon jane ka man bana chuke hai aur online confirm rail ticket book karna chahte hai to iss post ko dhyan se padhe.

Lockdown Me Online Confirm Rail Ticket Kaise Paye – IRCTC Ticekt Booking

Abhi ke jo naye niyam hai uske according confirm rail tickets wale passengers hi trains me safar kar sakte hai. Online se confirm rail ticket book kaise karte hai chaliye step by step janate hai.

1 Sabse pehle Irctc.co.in ki site open kare.

2 Ab top side me Login option par click kare.

3 Iske baad apna username aur password dalkar sign in kare, agar account nahi hai to pehle register ke option par click karke sign up kar lijiye.

4 Login karne ke baad Book your ticket ke option me destination, travel date aur rail class enter kare aur Find trains option par click kare.

5 Ab next interface me aapke samne aapke destination ke liye chalne wali trains show ho jayengi. Inme trains name par click karke aapk uska route aur time check kar sakte hai. Yahapar aapko apni train aur class select karni hai.

6 Iske baad Check availability & fare option par click karke aap available seats aur fare ko check kar sakte hai, aur ticket book karne ke liye Book now ke option par click kar dijiye.

7 Ab next interface me aapke samne ek form open hoga isme name, gender, age aur seat etc detail enter kare, aur apna 10 digits ka mobile number enter kare aur Next button par click kare. Finally sabhi details check karke Continue booking option par click kar dijiye.

8 Iske baad aapke samne payment methods open ho jayenge yahapar aap debit card, credit card, net banking ya e-wallet etc ka use kar sakte hai. Payment method select karne ke baad finally Make payment option par click kar dijiye.

Payment success ho jane ke baad next interface me aapke samne ticket confirmation detail aa jayegi. Sath hi aapke email id ya phone number par ticket confirmation ka message bhi irctc ki tarah se bhej diya jayega.

I hope ab aap samajh hi gaye honge ki online confirm rail ticket kaise book karte hai. Agar aapko jankari helpful lage to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.