GOOGLE

Google My Business Kya Hai Aur Ye Kaam Kaise Karta Hai

Google my business kya hai aur ye kaam kaise karta hai aaj ki iss post me mein aapko batane wala hu. To agar aap nahi janate ki google my business kya hai. Aur Google my business work kaise karta hai to iss post ko dhyan se padhe. Mein puri koshish karunga aapko google my business ke bare me sahi se explain karne ke bare me, to chaliye shuru karte hai aur janate hai ki google my business kya hai aur iska use kaise karte hai.

Google apne users ki jarurato ko dhyan me rakhte huye aur khud ko aur jyada develop karne ke liye lagatar new updates kar raha hai. Aur apne users ke liye time to time new features aur services lata rehta hai aur inhi services me ek hai google my business. Google my business ek aisa platform hai jiske through consumers google search aur google maps ki help se apne aaspaas related services aur business ko easily find out kar sakte hai.

Google My Business Kya Hai Aur Ye Kaam Kaise Karta Hai

Local businesses ke liye google my business account create aur optimize karna bahut jyada important ho sakta hai. Isliye agar aap ko business karte hai. To aapko googke my business listing or directory me usse submit jarur karna chahiye. Agar aap aisa karte hai to aapke business ko local customers easily search kar payenge. Aur fir aapka business pehle kahi jyada grow karne lag jayega.

Google My Business Listing Kya Hai

Google my business ek aisa free google tool hai jisse kisi bhi business ko manage karne. Aur uski online presence ko banaye rakhne ke liye google dwara create kiya gaya hai. To agar koi business google my business listing me submit hoga to usse online koi bhi search kar sakta hai.

Google my business listing ek online web directory aur social media profiles ka ek combination hai. Jis tarah se koi bhi business owner social sites par apne business se related post share karte hai. Thik ussi tarah se google my business par bhi publish kar sakte hai.

Lekin google my business listing par published post social media stories ki tarah permanent nahi hai. Google web directory se 7 days ke baad isse delete kar diya jata hai. Iss beech customer uss post par apne review bhi de sakte hai.

Difference Between Google My Business and Google Maps

Generally consumers google my business services ko search karne ke liye account create nahi karte hai. Bulki vo google search ya fir google maps me kisi bhi service ya direction ko without login search karna pasand karenge. Ye alag baat hai ki aapka pehle se hi account hai aur aap login ho. Agar business owners ne google my business listing create ki hui hai to in searches me vo show hoti hai.

Google maps ek online directory ya fir ek navigation tool hai jiski help se users apni jarurat ke according direction receive kar sakte hai. Jab bhi koi user google maps par search karta hai to paid results ko organic results ke upar show karta hai. Yani ki agar aap google my business listing ka use karte hai. To inn searches me aapke business se related detail top me show hoti hai.

Koi bhi user googke maps ka use use kar sakta hai aur apni location ko bhi add kar sakta hai. Lekin agar aapko apni business ko control karna hai to aapka google my business par active account hona behad jaruri hai. Agar short me kaha jaye to aapki google map listing hi aapka google my business listing hai.

Google My Business Kaun Use Kar Sakta Hai

Aap google my business listing ka use kar sakte hai ya nahi ye aapke business type par depend karta hai. Aisa isliye kyuki google kai business types ke liye perticularly listed hai. Aapka business google my business listing ka use kar sakta hai ya nahi. Iske liye niche diye gaye requirements dekh sakta hai.

Individual Services

Agar aap ek lawyer hai, doctor hai, accountant hai ya fir real estate agent hai to aap google my business service listing ka use kar sakte hai. Aise me kisi office ki jarurat bhi nahi hai bus aapki ek virtual website honi chahiye aur iske sath physical location chahiye jaha par consumer aapke paas contact kar sake.

Physical Locations

Physical location google my business listing ka most popular type hai. Kyuki kai mostly alag alag types iss category me fit bethte hai. Physical locations vo type hai jisme consumers easily visity karke kisi bhi tarah ki purchase kar sakta hai. Jisme for example saloon, stores ya fir hotel ya restaurants samil hai.

Service Providers

Agar aap koi aisa business karte hai jisme apne customers ko aap unke physical locations me jakar service provide karte hai. To bhi aap google my business profile ka use kar sakte hai. Iss category me mostly pest control services, delivery services, cleaners etc aate hai.

Why Business Needs Google My Business Profile

Google my business kya hai aur ye kaam kaise karta hai ye to aap samajh hi gaye honge. Ab baat karte hai ki kisi bhi business ke liye google my business profile ki jarurat kyu ho sakti hai. To mein aapko bata du ki google my business listing aapko google search aur google maps me show karne me kafi help karta hai. Iske sath hi aap apne constomers ke sath ek googl relationship create kar sakte hai.

Sath hi google my business tool ki help se aap apne consumers se direct communicate kar sakte hai. Jisse aapke consumers to increase honge hi. Sath hi aapke business ki ranking bhi more better hoti hai. Iss tool se aap apne costomers ko location wise target kar sakte hai. Aapka business kaise perform kar raha hai aur aapke targeted cunsumers kya dekh rahe hai. Ye check karne ke liye aap insight tool ka use kar sakte hai.

In short google my business ek aisa platform hai jiski help se aap apne business ki important details ko publicly share kar sakte hai. Aur apne consumers tak easily aur kam time me pahuch sakte hai.

I hope, google my business kya hai aur ye kaise kaam karta hai, aapko ye post helpful lagi hogi. Agar aapko ye jankari pasand aaye to share jarur karna. Aur aapka koi sujhav ya sawal hai to niche comment me jarur puchna.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

One thought on “Google My Business Kya Hai Aur Ye Kaam Kaise Karta Hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.