SEO

Search Engine Marketing (SEM) Kya Hai Iski Puri Jankari In Hindi

Search engine marketing (SEM) kya hai aaj iss post me mein aapko iske bare me batane wala hu. Agar aap ek blogger hai to aap SEO ke bare me jarur janate honge. Agar aap blogging me success hona chahte hai to SEO kya hai iski jankari aapko jarur honi chahiye.

Search engine marketing (SEM) aur SEO dono ka ek hi kaam hai. SEM aur SEO ki help se hum apne blog ya website par quality traffic increase kar sakte hai. Aur search engines me top rank paa sakte hai. Fark sirf itna hai ki SEO setup karke aap free me organic traffic generate kar sakte hai. Aur Search engine marketing (SEM) paid method hai.

Search Engine Marketing (SEM) Kya Hai Iski Puri Jankari In Hindi

Search engine marketing (SEM) ko search marketing bhi kaha jata hai. Aur iss method me search engine ads se paid traffic receive kiya jata hai. SEM activities me search engine me ads results show hote hai. Google search engine sabse jyada famous aur popular search engine hai. Aur google search se traffic increase karne ke liye do methods hai.

  1. Search Engine Optimization (SEO)
  2. Search Engine Marketing (SEM)

#1 Search Engine Optimization

Search engine optimization (SEO) ki baat kare to ye bilkul free method hai. But ye kaafi lengthy process ho sakta hai. Kisi new website ya business ko traffic generate karne ke liye. SEO me aapko sabse pehle quality content aur good backlinks banane hote hai. Jiske baad aapki site ranking high honi start hoti hai. Aur site par quality backlinks aur traffic generate karne me aapko 2-4 months ka time lag sakta hai.

Search Engine Marketing (SEM)

SEM paid hai aur iss method me aapke paise lagte hai. Lekin agar aap search engine marketing (SEM) ka use karte hai. To aapki website ya business site jaldi se jaldi search engines me rank karegi. Yani ki iss method me aapko thoda paisa invest karna hai. Aur next day hi aapki site top position me show honi shuru ho jayegi. Aur quality aur huge traffic aapki site par aana start ho jayega.

Paid search platforms yani ki google adwords most popular platform hai. Ads show karne ke liye search marketers sabse adhik google adwords ka hi use karte hai. Google ke alawa adwords yahoo aur bing search engines me bhi paid ads provide karta hai.

Koi bhi online business ho usse increase aur grow karne ke liye SEM aur SEO dono method ki jarurat hoti hai. Fark sirf itna hai ki SEO me aapka thoda samay lag sakta hai. Aur SEM method instantly apna kaam shuru kar deti hai. Aur rato raat aapko huge traffic provide karwa sakti hai.

Search Engine Marketing (SEM) Ka Use Kaun Kar Sakta Hai

Advertising program google adsense SEM yani ki paid traffic ko allow nahi karta hai. To agar aap ek blogger hai aur apni site par adsense ads use karte hai. To aap search engine marketing (SEM) ka use nahi kar sakte hai. Iske alawa agar aapki koi personal website hai jispar aap jyada traffic nahi chahte hai. To aapko SEM method ki jarurat nahi hai.

Lekin agar aapki e-commerce website ya koi online business site hai. Jisko aap kam se kam time me jyada se jyada grow karna chahte hai. To aapko search engine marketing (SEM) ki jarurat hai. Paid advertising ki karan aapka business nai uchaiyo ko chhu sakta hai.

So friends ab aap samajh hi gaye honge ki search engine marketing kya hai. Aur isse kisko fayda ho sakta hai. Agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne social friends ke sath share jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

4 thoughts on “Search Engine Marketing (SEM) Kya Hai Iski Puri Jankari In Hindi

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.