Google Analytics WordPress Par Install Kaise Kare – Google Analytics to WordPress
WordPress blog par google analytics dashboard add karke aap apne google analytics account ki sabhi details apni wordpress site par hi check kar sakte hai. Aur iske liye aapko baar baar apne analytics account ko open bhi nahi karna padega. To google analytics wordpress par install kaise karte hai aaj ki iss post me mein aapko batane wala hu.
Agar aapne apne wordpress blog par jetpack install kiya hai to isse aapki site speed slow ho sakti hai. Aur isme visitors ki tracking bhi sahi se nahi ho pati hai. Aur agar aap apni site par monsterinsights use karte hai to aapki site speed par isse koi fark nahi padta hai. Aur iski help se aap apne visitors detail apne wordpress dashboard me hi dekh sakte hai.
Agar aapka wordpress blog hai aur apne blog ki tracking ke liye aap google analytics account ka use karte hai. To ab aapko baar baar apne google analytics account me nahi jana padega. Kyuki agar aap apne wordpress blog par monster insights plugin ko install kar lete hai to jo aap apne blog ki track report dekhne ke liye google analytics ka use karte hai. Ab aapko alag se nahi karni padegi aur aap apne wordpress dashboard me hi google analytics ki tracking report check kar sakte hai.
- 500 Internal Server Error Kya Hai Aur Isse Fix Kaise Kare
- Google Search Console Ke Updated New Features
Google Analytics WordPress Par Install Kaise Kare
Google analytics account ko wordpress se connect karna bahut simple aur easy hai. Agar aap janana chahte hai ki google analytics wordpress par install kaise kare to niche diye gaye steps ko sahi se follow kare.
Step 1
Sabse pehle aapko apne wordpress dashboard me MonsterInsights plugin ko install karna hai aur isse activate kare. Ye ek free verzion hai aur aap jyada features chahte hai to aap iska paid version purchase kar sakte ho.
Step 2
Jaise hi aap google analytics dashboard ke liye plugin active kar lenge to ab aapko plugin section me monster insights ki setting ko open karna hai. Aur setting page me aapko bottom side me Connect MonsterInsights ke button par click karna hai.
Step 3
Ab next window me monsterinsights se connect karne ke liye aapke google account se sigh in karne ke liye pucha jayega. To yahapar aapko apna google account select karna hai.
Step 4
Iske baad next window me aapke google account ka access manga jayega to yahapar aako bottom side me Allow ke button par click karna hai.
Step 5
Allow button par click karte hi aapki google analytics account ki site auto select ho jayegi to yahapar aapko Complete Connection ke button par click karna hai.
Step 6
Ab next window me aapka google analytics account aapke wordpress website se connect ho jayega. Aur wordpress website profile me aapke google analytics account ki ID yahapar add ho jayegi. Ab aapko top right side me Save changes ke button par click kar dena hai.
Step 7
Iske baad aapko bottom side me scroll karna hai aur Launch setup wizard ke button par click kare.
Step 8
Ab next window me aapse pucha jayega ki isse kisliye intall kiya gaya hai. To blog website ke liye aapko yahapar Publisher (Blog) ke option ko select karna hai. Aur Save and Continue ke button par click karna hai.
Iss tarah se aap easily google analytics ko apne wordpress dashboard me install kar sakte hai. Aur ab aap google analytics account ki tracking apne wordpress dashboard se hi kar sakte hai.
- Fix WordPress Error “The Site is Experiencing Technical Difficulties
- Website me Free SSL Certificate Setup Kaise Kare
I hope, google analytics wordpress par install kaise kare aapko ye jankari helpful lagi hogi. Agar aapka koi sawal ya sujhav hai to niche comment box me jarur puche aur agar aapko ye jankari pasand aayi hai to isse social sites par apne friends ke sath bhi share jarur kare.
wah ramesh sir – Good Article👍