SEOWORDPRESS

Website Me CloudFlare Free SSL Certificate Setup Kaise Kare

WordPress blog me cloudflare free ssl certificate setup kaise karte hai aaj iss post me hum janenge. SSl certificate kisi bhi website ya blog ki security ke liye behad jaruri hai. SSL certificate se aap apni website ko secure bana sakte hai. Isliye blog or website me SSL certificate setup kaise karte hai iski jaankari aapko jarur honi chahiye.

Website me https enable karne ke liye aap SSL certificate setup free aur paid dono tariko se kar sakte hai. Lekin mein aapko cloudflare website se free ssl certificate use karne ke bare me bataunga. CloudFlare bahut hi best site hai. Aur ye website aapko apni website me ssl certificate use karne ke liye. Free aur paid dono tarah ki service provide karti hai.

Cloudflare se free SSL certificate setup karne ke liye aapko iss site par apna account create karna hoga. Cloudflare par account create karne ke baad aap apni website me SSL setup easily kar sakte hai. SSL certificate enable karne ke baad. Aapki site HTTP (Hypertext transfer protocol) se HTTPS (Hypertext transfer protocol secure) me switch ho jati hai.

SSL Kya Hai

SSL (secure socket layer) ek standard security protocol hai. Jo online kisi web server aur browser ke beech me encrypted links establish karta hai. SSL technique use karne se browser aur web server ke beech me browse data encripted rehta hai.

Kisi bhi website ko SSL connection create karne ke liye SSL certificate ko use karna bahut jaruri hota hai. SSL active karne ke liye aapko apne blog ya website ki identity ke liye sabhi detail submit karni hoti hai.

SSL Ka Kya Use Hai

Apne customers ki security ke liye lakho online business SSL (secure socket layer) protocol ka use karte hai. SSL protocol aisi business sites ki online transactions ko confidential rakhta hai. Jaise ki debit or credit card details, bank account number ya customers ki personal detail etc.

Agar kisi e-commerce me https enable nahi hai ya ssl certificate ka use nahi hota hai. To aisi sites ke data ko koi bhi third party hack kar sakti hai. Aur aisi sites jaha aap bill pay karne aur kuch purchase karne ke liye. apni credit card, debit card ki detail submit karte hai. Aap ye bilkul bhi nahi chahenge ki vo site insecure ho aur aapki personal detail koi hack kar le.

SSL Certificate Setup Kyu Jaruri Hai

Internet ne online business ke liye naye global business opportunities create kiye hai. Iske sath hi cyber criminals bhi iss facility ki orr attract huye hai. Jo customers ki bank detail, credit or debit card detail ki detail ko chori karne ke avsar ka fayda uthane ke liye taiyar rehte hai.

Agar web servcer or internet browser ke beech me connection encrypted nahi hai. To koi bhi skilled hacker customers ki online transaction ko easily hack kar sakta hai. Jisse ki customers ko bada nuksan ho sakta hai. Isliye sabhi websites ko apna data secure karne ke liye SSL certificate setup karn jaruri hota hai.

SSL Certificate Setup Karne Ke Benefits Kya Hai

Website par SSL certificate setup karne se sabse bada fayda ye hai. Ki aapki website secured ho jati hai. Aur log aapki site par jyada trust karne lagte hai bajay jinn sites par ssl enabled nahi hai.

Haal hi me google ne ye announce kiya hai ki vo ab unn websites ko jyada rank karega. Jinn sites par SSL enable hoga. Isliye apni site par SSL certificate setup karna ek better option hoga.

CloudFlare Free SSL Certificate Setup Karne Ke liye Kya Chahiye

Cloudflare free SSL certificate Setup karne ke liye aapke paas 3 cheezo ka hona behad jaruri hai. Jo iss prakar hai.

  1. Custom Domain.
  2. Hosting Server.
  3. CloudFlare Account.

 

Website Me CloudFlare Free SSL Certificate Setup Kaise Kare

Cloudflare US ki ek best complany hai aur ye websites, e-commerce stores. Saas products aur APIs ko more safer aur faster banane me help karta hai. Jab aap cloudflare par account create karke SSL certificate enable karte hai. To Aapki website ko access karne par sabhi ko cloudflare se hokar gujrna hoga.

Jiske baad cloudflare traffic ko scan karta hai aur spams aur illegal activities ko block karta hai. Isliye agar aap apni website ko more secure aur faster banana chahte hai. To aapko cloudflare ka use jarur karna chahiye.

Cloudflare free SSL certificate ko setup karne ke liye sabse pehle aapko cloudflare par apna account create karna hoga. To chaliye step by step janate hai ki website me cloudflare free SSL certificate setup kaise kare.

Step 1

Sabse pehle CloudFlare ki official website me jaye aur sign up kar lijiye.

 

Step 2

Ab next window me add your site ka option aayega. Yahapar apni domain name enter kare aur Add site button par click kare.

 

Step 3

Next window me We’re querying your DNS records ka message show hoga. Yahapar aapko Next button par click karna hai.

 

Step 4

Ab agle page me aapko cloudflare ke free aur paid plan show honge. Clouflare free SSL certificate setup karne ke liye Free plan ko select kare. Aur Confirm plan ke button par click kar dijiye.

 

Step 5

Next window me aapki website ka DNS query result aa jayega yahapar Continue button par click kare.

 

Step 6

Ab cloudflare aapko nameservers provide karega. Isse aapko apne domain provider service me add karna hai. To iske liye sabse pehle inn nameserver ko copy kar lijiye.

 

Step 7

Ab ek new tab open kare aur usme apne domain account me login kare. Aur old nameserver ko change karke copied nameserver ko paste karna hai. Mera godaddy domain account hai to isme nameserver change karne ke liye niche diye steps follow kare.

  1. Godaddy domain account me login kare.
  2. My Account me jaye.
  3. Apne domain name ke samne Manage button par click kare.
  4. Manage DNS settings par click kare.
  5. Namserver me Change option par click kare.
  6. Custom option select kare.
  7. Ab copied cloudflare nameserver ko yahapar paste kare.
  8. Finally Save button par click kar dijiye.

 

Step 8

Ab wapas apne cloudflare window me jaye aur Crypto option par click kare. Iske baad bottom side me scroll kare. Aur Automatic HTTPS Rewrites ke samne ke button ko On kar dijiye.

 

Step 9

Iske baad ab aapko apne wordpress blog me ek plugin install karna hai. Iske baad aapke blog par SSL certificate enable ho jayega.

  1. Apne wordpress blog me login kare.
  2. Plugins option me jaye aur Really Simple SSL plugin ko install kare.
  3. Plugin install karne ke baad Setting option me SSL par click kare.
  4. Yahapar approved button par click kar dijiye.

Iss process me 24 hours tak ka time lag sakta hai. Pending request approved hone ke baad Settings > SSL option me detected setup likha hua aayega. Aur aapki site par cloudflare free ssl certificate certificate setup enable ho jayega. Niche image me dekhe.

To dosto iss tarah se aap apne blog par cloudflare free SSL certificate setup kar sakte hai. Aur site ko http se https me switch kar sakte hai. Iske baad jab bhi koi aapki website open karega to usse not secure ki jagah secure website show hoga.

I hope aapko cloudflare free SSL certificate setup karne ki ye jankari helpful lagi hogi. Agar aapka koi saval ho to niche comment box me puch sakte hai. Aur aga ye jankari aapko pasand aayi ho to isse share karna na bhule.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.