BLOGGERGOOGLEWORDPRESS

Google Search Console Ke Updated New Features Kaun Kaunse Hai

Google ne apne webmaster tool yani ki google search console ko march 2019 me update kiya hai. Aur kuch old features ko remove kiya gaya hai. Sath hi kuch new features ko update bhi kiya gaya hai. Iske sath hi mostly features ko replace bhi kiya hai. Google search console me update huye 5 new features kaun kaunse hai. Aaj ki iss post me mein aapko batane wala hu. To agar aap janana chahte hai google webmaster tool ke iss new updates ko to iss post ko dhyan se padhe.

Most important google SEO tool yani ki google search console ne haal hi me bada update kiya hai. Jisme search console algorithm, aur iske khas tools shamil hai. Kai features hai jo aapne old search console me use kiye honge. Lekin ab unn features update karke ek new look aur name diya gaya hai.

Starting me search console ke updated version ko beta stage me update kiya gaya tha. Lekin ab iska full updated version sabhi ke liye available hai. Agar aap new search console ko use karenge to shayd aapko iske bhot se features samajh ne nahi aayenge. Jaise ki old webmaster tools me jo features they ab unka kya name hai.

Aise me aap confuse ho jaoge aur google search console ka use karne me aapko kafi problem bhi hogi. Isliye new google search console ko easy banane ke liye me aapko old vs new search console ke features aur difference ke bare me batane wala hu.

Google Search Console Ke Updated New Features Kaun Kaunse Hai

Google webmaster tools yani ki search console ka old version jitna usefull tha. Utna hi interest aur usefull google console ka new version bhi hai. Ek baar agar aap new search console ke use too ho gaye to aapko ye kafi interesting lagega. google search console ke updated new features kaun kaunse hai chaliye janate hai.

google search console ke updated new features

Performance

Old search console me site ki position, clicks, impressions, CTR ki report check karne ke liye search analytics ka use hota tha. Lekin ab new google search console me ye feature Performance feature me add ho gaya hai. Aur aap apni site ki analytics report performance option me easily dekh sakte hai.

Perfoamance feature me aap apni site ki quaries check kar sakte hai. To visited site pages ko check kar sakte hai. Site par kis country se sabse jyada traffic aata hai. Aur Kaunse device me site ko sabse jyada visit kiya jata hai. Sath hi top search appearance bh aap performance feature ke under dekh sakte hai.

URL Inspection

Agar old search console ki baat kare to blog post links ko google webmaster tools me add karne ke liye Fetch as google feature ka use hota tha. Aur sath hi site ki crowling ko bhi fetch as google function me check kar sakte they.

Lekin ab new google search console me ye feature change ho gaya hai. Aur ab iss tool ka name URL inspection me change ho gaya hai. URL inspection tool me aap apni site ke kisi individual page ko inspect kar uski detail pata kar sakte hai. Aur sath hi crowl errors aur blocke resources detail bhi dekh sakte hai.

Bus aapko url inspection tool me apni webpage ka url enter karna hai. New google search console thoda time lega. Aur 1 se 2 minutes ke under hi aapko uss webpage ki puri detail provide ho jayegi. Detail me webpage ke google indexing aur coverage ki jankari hogi. Aur sath hi mobile webpage ki mobile usebility ki detail bhi check kar sakte hai.

Index – Coverage

Google search console ne crowl error list ko aur jyada accurate banane ke liye isse upgrade kiya hai. Aur ab new webmaster tool me ye feature Index function ke under Coverage feature me add ho gaya hai. Iss feature ko aur bhi jyada better banane ke liye abhi bhi ispar kaam chal raha hai.

Index – Sitemap

Google search console ke sitemap feature ko bhi index function ke under hi add kiya hai. Index sitemap se aap apni site ke important URLs par easily focus kar sakte hai.

Manual Actions Report

Manual actions report ko aap search console ke overview section me dekh sakte hai. Aur apni site ki summery report ko analysis kar sakte hai. iski help se aap apni site page par various issue ka pata karke usse solve kar sakte ho.

Agar aapke webpage par kisi tarah ka issue ya error aati hai to aap isse optimize kar google se request a reivew option ka use kar sakte hai. Manual actions feature kafi usefull aur kamal ka feature hai. Kyuki ye easy to access hai. Aur iss feature ki help se aap apni site ke important issue ek place me dekh sakte hai. Site ki errors ko quickly analyse kar usse resolve kar sakte hai. Jisse aap apni site ka performance better bana sakte ho.

Google search console ka new updated versions me ye kuch important features they. Jo maine aapke sath share kiye hai. Iske alawa bhi kai aur updates hai jo abhi new webmaster tools me hone baki hai. Aur google search console team ispar abhi bhi kaam kar rahi hai. Taki sabhi google webmaster tools ke users ko better service provide ho sakte.

Iske sath hi kai features aise hai jiske liye hume old search console me redirect hona padega. Jo abhi under construction hai. Aur bahut hi jaldi new webmaster tools ka upgraded version bahot hi kamal ka aur kafi useful hone wala hai.

Final words

So friends google search console ke updated new features kaun kaunse hai. Aur inme kya kya updation hui hai, ab aap samajh hi gaye honge. Agar aapko ye jankari helful lag rahi hai to isse social media par share jarur kre. Aur agar aapka iss post se related koi sujhava ya saval hai to comment me jarur puche.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.