GOOGLE ADSENSE

Google Adsense Se Jyada Paise Kaise Kamaye | Increase Adsense Revenue

How to increase adsense revenue yani ki google adsense se jyada paise kaise kamaye aaj ki iss post me mein aapko batane wala hu. To agar aapki income ka main source google adsense program hai to iss post me batayi tips se aap easily apna google adsense revenue ko pehle se jyada increase kar sakte hai.

Agar aap google adsense user hai to aapko ye acchi tarah se pata hoga ki website par ads dikhkar ya fir youtube videos monetize karke aap acchi khasi earning kar sakte hai. Bahut se aise log hai jo google adsense program se lakho karodo rupay kama rahe hai.

Lekin google adsense se good income generate karne ke liye vo hardwork to karte hi hai. Sath hi iske liye smartwork bhi karte hai. Aur agar aapko bhi apni adsense income ko boost karna hai to ye dono hi kaam aapko yahapar karna hoga.

Google Adsense Se Jyada Paise Kamane Ke Liye Kya Chahiye

Adsense program se jyada income karne ke liye aap apna khud ka blog bana sakte hai. Aur regularly quality content post publish kar sakte hai. Iske sath hi aap apne blog se related ek youtube channel create kar sakte hai. Aur adsense ke through aap apne youtube channel ko monetize kar sakte hai. Aur youtube par video upload karke paise kama sakte hai. To google adsense revenue ko increase karne ke liye aapko chahiye:-

  1. Aapka khud ka talent.
  2. Computer ki knowledge or writing skill.
  3. Computer, laptop or mobile.
  4. Internet connection.
  5. Aur aapka kimti samay.

Google Adsense Se Jyada Paise Kaise Kamaye | Increase Adsense Revenue

Adsense se jyada earning karna koi mushkil kaam nahi hai aur agar aap ek hardworker hai to iske sath hi aapko smartwork karna behad jaruri hai. Tabhi aap apni adsense revenue ko jaldi se increase kar sakte hai.

Kuch basic chize hai jinko agar aap sahi se implement kar lete hai to jaldi aap google adsense se ek accha revenue generate kar sakte hai. To google adsense se jyada paise kamane ke liye aapko kya kya karna hai chaliye janate hai.

Blogging

Adsense se paise kamane ke liye aap blogging start kar sakte hai aur agar aap ek blogger hai aur google adsense program ke through earning kar rahe hai. Lekin jo aapka revenue hai adsense ke through vo bahut kam hai to niche batayi gayi tips ki help se aap isse badha sakte hai.

1. Use Quality Fresh Contents

Ab jabki blogging me bhi competition itna jyada badh gaya hai to aise me aap apne writing skill se iss field me aage badh sakte hai. Agar aap apne blog par fresh aur quality contents post karte hai to isme success ho sakte ho otherwise nahi.

Kyuki audience ko hamesha fresh contents jyada pasand aate hai aur agar aap koi aisi jankari share kar rahe hai jo pehle bhi koi share kar chuka hai. Lekin aap apni writing skill se usse iss tarah se create karte hai jisse logo ko usse samajhne me aasni ho aur unka interest bhi bana rahe. To samajh lijiye ki aap blogging me success hone ki pehli sidhi paar kar chuke hai.

2. Use High Quality Keywords

Agar aap apni post me high quality keywords use nahi karenge to adsense se aap jyada earning nahi kar sakte hai. Isliye agar aapko google adsense se jyada paise kamane hai to apni blog post me quality keywords ko jarur use kare.

High quality keywords research karne ke liye aap google keywords planner tool ka use kar sakte hai. Aur iss tool ki help se aap aise keywords search kar sakte hai jinka traffic volume high ho, competition low ya medium ho aur CPC jyada ya fir average ho.

3. Increase Organic Traffic

Agar aap apni site par organic traffic aur non organic traffic receive karte hai to jyada adsense revenue aapko organic traffic se milega. Isliye aapko sabhi search engines jaise ki google search console, ya bing webmaster tool aur yandex webmaster tool me bhi apni site ko submit karna hoga. Tabhi aapki site ki search rank high hogi aur sath hi google adsense se jyada income hone ke chance bhi badh jayenge.

4. Ads Placement

Google adsense terms and conditions ke according agar aap apni site par sahi location par aur sahi quantity me ads place karte hai. To aap google adsense se jyada paise kama sakte hai aur adsense ads par click hone ke jyada chance hote hai.

Blogpost ke top me beech me aur bottom side me aap text and display ads add kar sakte hai. Aur sidebar me bhi aap banner ads laga sakte hai. Inme se sabse jyada earning topside ads ke through hoti hai. Isliye blogpost ki topside area me ads place karna bilkul bhi na bhule.

Sath hi aapko ads size ka bhi selection sahi se karna hai kyuki agar aap apni site par responsive ads size use nahi karenge to aapki adsense earning bhi thik se nahi hogi. Isliye agar aap post me adsense text and display ads, banner ads ya adsense link ads use kar rahe hai to aapko responsive ads unit hi use kani chahiye.

Iske sath hi aapko apne site ka detail check karne ke liye google analytics ka use bhi karna chahiye. Kyuki google analytics se aap ye pata kar sakte hai ki aapka traffic kaha se aur kaise generate ho raha hai. Aur jo traffic aa raha hai vo jyada mobile se aa raha hai ya desktop se iske according hi aap ads optimization kare.

5. Allow Ads

Agar aapki site par quality organic traffic aata hai ya fir aap apni site par quality contents aur keywords ka use karte hai. To apne google adsense account par ads block ka use nahi kare. Kyuki aapki site ke quality contents aur high paying keywords aapko good cpc de sakte hai, isliye sabhi ads sites ko allow kare.

6. Disable Matched Content Ads

Agar aapne apne google adsense account par matched content ads enable kiya hai. Aur aise me aapko matched content ads se low cpc mil rahi hai to better hoga ki aap iss ads type ko disable kar dijiye. Aisa karne se google others high paying ads types ko priority dega aur cpc automatically increase ho jayegi.

7. Target UK/US Traffic

India ke mukable european country (UK/US) ka adsense CPC level jyada high hai. Aur agar aapki site par Uk/Us, or canada ya fir germany se jyada traffic aata hai to aapki site par cpc jyada hoga aur per click aapki income bhi jyada hogi. Isliye inn european countries ko target karke apni post me content use kare.

Youtube

Agar aapko video banane ka shauk hai to aap youtube par video upload karke bhi acchi khasi earning kar sakte hai. Youtube se earning karne ke liye aapko sabse pehle youtube par channel create karna hoga.

1. Upload Videos Regularly

Youtube par google adsense se jyada paise kamane ke liye jo sabse pehla kaam hai vo hai regular basis par quality video upload karna. Agar aap daily video upload nahi kar sakte hai to aise schedule bana lijiye jisko aapko strictly follow karna hai.

Jaise ki har do din baad ya teen din baad ek video ya ek hafte me kam se kam ek video jarur upload kare, aur isse jyada time nahi lena hai kyuki aise karne se aapki video ki search rank par bura asar padega.

2. Use Metadata sufficiently

Youtube video ka title, description, tags aur keywords iska metadata hota hai. Aur aur metadata ki help se aap apni videos ki CPC rank boost kar sakte hai. Agar aap apne videos par title, description, tags aur keywords ko sahi se optimize karenge to aapko iska result bhi accha hi milega. Isse aap apne videos ki adsense cpc ko increase to kar hi sakte hai sath hi search rank ko bhi badha sakte hai.

3. Make Videos on High CPC Topic (Keywords)

Agar aap youtuber hai to aap ye acchi tarah se janate honge ki youtube par uploaded sabhi videos se same views hone ke baad bhi alag alag earning hoti hai. Aur aisa isliye hota hai kyuki sabhi videos me alag alag content or keywords use hote hai. Aur jiss keywords ka CPC jyada hoga uspar kam views par bhi jyada earning hoti hai.

Isliye hamesha koshish kare ki high cpc keywords par video banayi jaye aur iske liye aap google keyword planner tools ka use kar sakte hai kyuki ye ek free keywords research tool hai quality aur high traffic keywords search karne ke liye.

4. Block Low CPC Sites

Bahut si aisi companies hai jo adsense ko unke ads par click karne ke kam payment karta hai. Aur jab adsense ko hi kam payment milti hai to adsense aapko bhi ussi ke according kam pay karta hai. Isliye agar aap apne google adsense account par low cpc sites ko block kar denge to aapke videos par jo kam adsense cpc wale ads honge vo band ho jayenge. Aur high Adsense CPC ads ab aapke video par show honge, aur aapka adsense revenue increase hoga.

I hope google adsense se jyada paise kaise kamaye aapko ye jankari helpful lagi hogi. Agar post acchi lagi ho to apne friends ke sath social sites par share jarur kare. Aur agar aapka koi sujhav ya sawal hai to comment karke puch sakte hai. Mujhe khushi hogi aapko answer karne me thanks.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

One thought on “Google Adsense Se Jyada Paise Kaise Kamaye | Increase Adsense Revenue

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.