Google Account Delete Kaise Kare
Google account delete kaise kare iss post me hum janenge so agar aap google user hai aur apne google account ko remove karna chahte hai aur nahi jante ki google account remove kaise karte hai to ye post aapke liye hi hai.
Aap kabhi bhi apne google account ko delete kar sakte hai lekin ek baar aapne apne google account ko delete kar diya to aap wapas apne account ko recover nahi kar payenge.
Isliye apne google account ko remove karne se pehle acchi tarah se soch lein aur agar aapko apna google account remove hi karna hai to iski step by step jankari iss post me aapko mil jayegi.
Google Account Delete Kaise Kare
Agar aap apna google account remove karna chahte hai to delete karne se pehle niche di gayi instructions ko sahi se padh lijiye tabhi aagey ka process follow kare.
Google Account Deleting Means
- Aapke google account ka all data or content remove ho jayega.
- YouTube, Google Play, movies, like apps, games, music, or TV shows etc content ka access remove ho jayega aur inn services me aapka subscription remove ho jayega.
- Aap apne google account se related other services jaise ki gmail, calendar, drive or playstore etc ka use nahi kar payenge.
Review and Download Google Information
- Google account remove karne se pehle iss link par click karke apne account information ko review kare.
- Apne google account ki recovery information ko update kare incase kuch dino me account recover karne ki koshish kar sakte hai.
- Agar aap online banking, social media or apps ke liye gmail address ka use karte hai to ek new email address inn services ke liye add kare.
Delete your Google Account
1 Sabse pehle apna Google account open kare.
2 Iske baad top right corner me apne Profile icon par click kare.
3 Ab kuch options aayenge inme Google account option par click kare.
4 Iske baad next interface me Data and privacy tab par click kare.
5 Data and privacy settings me bottom side me Delete your google account option par click kare.
6 Iske baad jo Instructions aayengi unhe follow karenge to aap google account delete ho jayega.
Iss tarah se easily aap kabhi bhi apne google account ko remove kar sakte hai halanki kuch dino ke ander aap apne account ko recover kar sakte hai lekin agar iss period me aapne apn google account par login karke recover nahi kiya to uske baad aapka google account permanently delete ho jayega.
I hope ab aap samajh gaye honge ki apne google account ko remove karne ke liye kya karna hai agar ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.