WHATSAPP

WhatsApp New Update Send Message to Yourself

WhatsApp new update send message to yourself roll out kar diya gaya hai jiske through aap whatsapp par khud ko koi bhi message bhej sakte hai apne aap se chatting kar sakte hai.

Vaise click to chat app ke through aap whatsapp par khud ke number par whatsapp message send kar sakte hai lekin ab iss new update ke baad aap whatsapp me hi apne aap ko message bhej sakte hai.

Send message to yourself feature update ke through aap whatsapp par koi list save kar sakte hai ya kisi ka address bhi aap instantly whatsapp par note kar sakte hai.

Ek tarah se aap notepad ki tarah whatsapp par iss feature ka use kar sakte hai, send message to yourself feature update ka use kaise karte hai chaliye iss post me janate hai.

WhatsApp New Update Send Message to Yourself

1 Sabse pehle Google playstore open karke whatsapp update kare.

2 Iske baad WhatsApp open kare.

3 Ab whatsapp chat list page me bottom right corner me Message icon par click kare.

4 Iske baad next interface me aapka Contact name show hoga ispar click karke Chat open kare.

5 Ab jo bhi message bhejna hai usse type karke send kar dijiye.

Message send karne ke baad aapki chat list page me aapke name se chat add ho jayegi fir aap apni chat open karke kabi bhi koi bhi message apne aap ko send kar sakte hai.

I hope ab aap samajh gaye honge ki whatsapp me send message to yourself kya hai aur kaise iska use karna hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

One thought on “WhatsApp New Update Send Message to Yourself

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.