Haal hi me kai million facebook account hack huye hai ye baat aap acchi tarah se janate hi honge. Lagbhag 30 millions facebook accounts hack huye hai. Hackers ne users ke data me sendhari ki hai iss baat ki pushti facebook bhi kar chuka hai.
Facebook users ke name, personal contents, school aur college jaise detail ki hacking hui hai. Halanki facebook ka kehna hai. Ki vo iss maamle me pehle se hi american agency FBI ke sath investigation kar raha hai.
Ye problem kitni serious ho sakti hai ya iss activity se dusri other services to affected nahi hui hai. Iske baare me bhi facebook pata lagana chahta hai. Jin users ke account me sendhmari hui hai ab facebook unhe message bhejkar iski jankari degi. Ki unka kaun kaun sa data hack hua hai.
Vaise facebook ne ye kaam abhi tak shuru nahi kiya hai. Aur ho sakta hai ki iss process me unhe thoda jyada time lag jaye. Lekin agar aap iss baat ka jaldi se jaldi pata karna chahte hai. Ki aapka facebook account hack hua hai ya nahi to iss post me mein aapko yahi batane wala hu.
Facebook Account Hack Hua Hai Ya Nahi Aise Kare Check
Facebook ki detail leak hone ke baad ab aap khud ye pata kar sakte hai. Ki aapki kaun kaun si jaankari chori hui hai. Aapka facebook account hack hua hai ya nahi ya fir facebook hacking se aapka account affected hai ya nahi. Iske baare me janane ke liye niche diye steps ko follow kare.
Step 1
Sabse pehle apne computer par facebook account me login kare.
Step 2
Ab aapko Facebook Help Center ke iss link me jana hai.
Step 3
Facebook help center me jane ke baad thoda sa scroll down kare. Aur heading “Is my Facebook account impacted by this security issue?” ke niche aapko “Yes. Based on what we’ve learned so far in our investigation, attackers accessed the following Facebook account information” likha hua show hoga to iska saaf saaf matlab hai ki aapka fb account hack hua hai.
Aur yahapar aapko apne account ki hacking se related sabhi detail mil jayegi. Jaise ki aapka kaun kaun sa data hack hua hai. Aur agar aapko facebook account hack nahi hua hai to aapko iss tarah ka koi bhi text show nahi hoga.
So friends ab aap samajh hi gaye honge ki aapka facebook account hack hua hai ya nahi. Kaise pata karte hai. Agar aapka post se related koi bhi saval ho to niche comment box me comment kar sakte hai. Aur agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse jyada se jyada logo tak share kare. Taki isse unhe bhi help mil sake.
View Comments (2)
Thanks for sharing such a nice article .. Keep the good work up.
thanks n welcome