FACEBOOK

Mobile Phone Se Facebook Video Download Kaise Kare

Android mobile se facebook video download kaise karte hai aaj mein ye trick aapko bataunga. Facebook me aisa koi option nahi hai jiski help se hum facebook me upload video ko download kar sake. Lekin mein aapko ek aisi trick ke bare me bataunga. Jiski help se aap kuch hi minutes me facebook se koi bhi video aasani se download kar sakte hai.

Isse pehle bhi mein aapko facebook video download karne ke bare me bata chuka hu. Lekin ab vo trick disable ho chuki hai. Isliye mein aapko new trick ke bare me bata raha hu jiski help se aap koi bhi facebook video. Without any software easily download kar sakte ho.

Mobile Se Facebook Video Download Kaise Kare

Android mobile me facebook video download karna bahut hi easy hai. Niche diye easy steps ki help se aap koi bhi facebook video aasani se download kar sakte hai. Vo bhi bina kisi software ke to chaliye start karte hai. Aur janate hai ki bina kisi software ke android mobile me facebook video kaise download karte hai.

Step 1

Sabse pehle apne android mobile me facebook app open kare. Ab jiss facebook video ko download karna hai uske top right side me 3 dots icon par click kare.

 

 

Step 2

Ab dropdown option open hoga isme aap top side me Save Video ka option dekh sakte hai. But iss option click karne  par video facebook me hi save hoga. Aapki mobile gallery me nahi hoga. Mobile gallery me facebook video download karne ke liye bottom side me Copy Link ke option par click kare.

 

Step 3

Iske baad apne android mobile me chrome browser ko desktop mode me open kare. Chrome browser ko desktop mode me open karne ke liye top rightside me 3 dots par click kare. Aur desktop site ke check box me tick kar dijiye.

 

Step 4

Andoid mobile phone me chrome browser open hone ke baad isme Save From Net site ko open karna hai. Savefrom.net ek facebook video downloader online site hai. Yahase aap koi bhi video chahe vo youtube videos ho ya facebook videos easily download kar sakte hai.

  1. Search box me save from net enter kar search kare.
  2. Search result me top link par click kar save from net ki site open kare.

 

Step 5

Save fromnet website open ho jane ke baad aap dekh sakte hai iska interface kuch iss tarah se hoga. Yahapar aapko facebook se video download karne ka option option mil jayega.

  1. Facebook se copied video link box me enter kare.
  2. Download ke green button par click kare.

 

Download button par click karte hi aapka facebook video download hona start ho jayega. Aur kuch hi seconds me ye video completed aapki mobile gallery me donwload ho jayega. Iss tarah se aap apne mobile phone me. Facebook video downloader online site savefrom.net se koi bhi facebook video easily download kar sakte hai.

Video Dekhe


I hope mobile se facebook video download kaise karte hai ye trick pasand aayi hogi. Agar aapko ye jankari helpful lagi hoto isse share jarur kare. Aur agar aapke paas koi aur tarika ho to niche comment box me jarur baraye.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

6 thoughts on “Mobile Phone Se Facebook Video Download Kaise Kare

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.