FACEBOOK

Facebook Timeline Photos Ko Unhide Kaise Kare

Agar koi facebook user kisi photo ko apne friend ki timeline par tag karta hai. To vo photo automatically uss friends ki timeline par show hogi jisse tag kiya gaya hai. Aur uske friends aur friends ke friends ko bhi ye photo show hogi. Lekin users iss tarah ki facebook timeline tag hide easily kar sakte hai. Ye to aap acchi tarah se janate hi honge. Lekin tab kya kare jab aap kisi hidden timeline photo ko unhide karna chahte hai. Agar aapne bhi apni timeline par tag kisi post, photo or message ko hide kiya hai. Aur nahi janate ki wapas tagged photo ko unhide kaise karte hai. To iss post me mein yahi bataunga ki facebook timeline photos ko unhide kaise kare.

Daily facebook par users kuch na kuch post karte rehte hai. Iske sath hi vo apne friends ki timeline par bhi photos, mesages or posts ko tag karte hai. Users facebook timeline photos se pareshan hokar inko hide kar dete hai. Aur jab vo inn timeline photos ko unhide karna chahte hai. To unko iska pata nahi hota ki facebook timeline photos ko unhide kaise karte hai. Agar aap bhi timeline photos ko unhide karne ke bare me nahi janate to niche diye steps follow kare.

Facebook Timeline Photos Ko Unhide Kaise Kare

Facebook par jitna easy timeline pictures ko hide karna hai utna hi aasaan timeline photos ko unhide karna bhi hai. Aap easily koi bhi hidden timeline photos ko wapas unhide kar sakte ho. Facebook timeline photos ko unhide kaise karte hai aaiye step by step janate hai.

Step 1

Sabse pehle apne facebook account me login kare.

facebook timeline photos ko unhide kaise kare

  1. Top right side me dropdown icon par click kare.
  2. Activity log par click kare.

 

Step 2

Ab jo page open hoga isme aapko sabhi activity logs show hogi. Aap apni activity log, timeline review, tag review, your posts, post by others etc check kar sakte hai. Jiss timeline photos ko unhide karna hai usse choose kare.

facebook timeline photos ko unhide kaise kare

  1. Left side menu me posts you’re tagged in par click kare.
  2. Hidden icon par click kare.
  3. Allowed on timeline ke tick box me tick kar dijiye.

Lijiye dosto allowed on timeline par tick karte hi ab aapko hidden timeline photos unhide ho jayegi. Issi tarah se aap sabhi hidden timeline photos ko unhide kar sakte hai.

I hope ab aap samajh gaye honge ki facebook timeline photos ko unhide kaise kare. Fir bhi aapko timeline photos ko unhide karne karne me koi problem hoto niche comment kar sakte hai. Aur agar aapko ye jankari helpful lagi hoto isse apne friends ke sath bhi share kare.

Video Dekhe

Ye Bhi Padhe

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

2 thoughts on “Facebook Timeline Photos Ko Unhide Kaise Kare

  • Sir mere fb ka timeline pata nahi hide hogya hai aur wo khul nahi raha hai. Mein aapke pataye hue rule ko follow kiya lekin wahan per no post likh kar aa raha hai. Kya aap bata sakte hai ki use kaise open kare.

    Reply
    • ho sakta hai aapne post sharing privacy me only me select kiya ho agar aisa hai to aap upar other option par check kar sakte hai.

      Reply

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.