X
    Categories: TWITTER

Twitter Account Hack Hai ya Nahi Kaise Pata Kare – Check if Twitter Hacked or Not

Twitter account hack hai ya nahi kaise pata kare aaj ki iss post me hum janenge. To agar aap bhi social media app twitter ka use karte hai. To iss post ko dhyan se padhe aur jane ki kaise aap check kar sakte hai ki aapka twitter account hacked hai ya nahi.

Twiter ke karodo users ke beech kuch hackers bhi hai jo aaye din other twitter users ke accounts ko hack karne ki koshish karte rehte hai. Kai iss kaam me sucess bhi ho jate hai aur other users ke twitter accounts ko hack kar lete hai.

Aise me ho sakta hai ki aapka twitter account bhi kisi ne hack kar liya ho ya aapke alawa koi dusra bhi uska use kar raha ho. To aap kya karenge aur kaise pata lagayenge ki kahi aapka twitter account hack hai ya nahi.

Issi baat ko dhyan me rakhte huye aaj ki iss post me mein aapke sath ek aisi jankari share kar raha hu jiski help se aap easily pata laga sakte hai ki aapka twitter account safe hai ya hacked hai. Isliye iss post me bataye gaye steps ko follow kare aur jane apne twitter account ki security aur safety ke bare me.

Twitter Account Hack Hai ya Nahi Kaise Pata Kare – Check if Twitter Hacked or Not

1 Sabse pehle apne Twitter account me login kare.

2 Ab top left side me 3 lines par click kare.

3 Iske baad Settings and privacy par click kare.

4 Next interface me top side me hi Account option par click kare.

5 Ab bottom side me scroll kare aur Apps and sessions option par click kare.

6 Next interface me bottom side me scroll kare aur Sessions option me aapko vo sabhi devices show ho jayenge jinpar aapka twitter account logged in hoga. Agar aapko yahapar sirf apna hi device show hota hai to aapka twitter account safe hai aur kisi ne hack nahi kiya hai.

Lekin agar aapko yahapar apne device ke sath sath koi other device name bhi show hota hai to iska matlab hai ki koi aur bhi hai jo aapke twitter account ka use kar raha hai, yani ki aapka twitter account hacked hai.

Aise me aapko yahapar Log out all other sessions ke option par click karna hai aur sabhi devices se apna twitter log out karke wapas twitter open karna hai aur apna twitter password reset kar lena hai.

I hope ab aap samajh gaye honge ki twitter account hack hai ya nahi kaise check karte hai. Agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More