FACEBOOKYOU TUBE

Youtube Videos Ko Facebook Page Se Link Kaise Kare

Hello friends, agar aap youtube videos banakar facebook me manually share karte hai to ye post aapke liye hi hai. Aapka youtube par channel aur facebook page hai to dono accounts ko connect kar sakte hai. Aur facebook page me youtube videos ka button add kar sakte hai. Iss post me hum janenge ki kis tarah se youtube videos ko facebook page se link kar sakte hai.

Log youtube videos ko alag alag social sites par share karte hai. Aur ye kaam ek ek karke manually karna padta hai, jisme unka kafi time waste hota hai. Agar aap facebook page me bhi youtube videos ko manually share karte hai. To ab aapko aisa karne ki jarurat nahi hai. Aapko sirf apne youtube channel ka tab facebook page me add karna hai. Youtube tab add karne se aapki sabhi new or old videos facebook page me show hogi.

Youtube Videos Ko Facebook Page Se Link Kaise Kare / How to Connect Youtube Channel with Facebook Page

Facebook page me youtube videos tab add karne se ab aapko koi bhi video manually facebook me share nahi karni padegi. Isse aapka kaafi time save hoga. To chaliye janate hai ki youtube channel video ko facebook page se kaise connect kare.

Step 1

Sabse pehle youtube ki official website me jaye aur apne youtube account me login kare.

Youtube Videos Ko Facebook Page Se Link

  1. Dropdown menu par click kare.
  2. My channel par click kare.

 

Step 2

My channel par click karne ke baad ab aapko apne channel ki id copy karni hai.

Youtube Videos Ko Facebook Page Se Link

  1. Apne channel ki id copy karne ke liye top right side me profile icon par click kare.
  2. Gear icon par click kare.
  3. Advanced me click kare.

 

Step 3

Advance option par click karne ke baad, next page me apni youtube channel id ko copy kare.

 

Step 4

Ab apne facebook account me login kare.

Youtube Videos Ko Facebook Page Se Link

  1. Search box me youtube tab type kare.
  2. Search result me pages ke niche youtube tab par click kare.

 

Step 5

Ab youtube tab ka ek page open hoga, isme use app ke blue button par click karna hai.

Youtube Videos Ko Facebook Page Se Link

 

Step 6

Ab agle page me apne youtube video tab ko add karne ke liye apna facebook page select karna hai.

Youtube Videos Ko Facebook Page Se Link

  1. Facebook pages dropdown par click karke apna apna fb page select kare.
  2. Add page tab button par click kare.

 

Step 7

Jaise hi add page tab button par click karte hi aap apne facebook page me redirect ho jayenge. Yaha par aap local discovery video ko dekh sakte hai. Ab aapko apne youtube channel ko yaha par add karna hai.

Youtube Videos Ko Facebook Page Se Link

  1. Youtube channel id enter kare.
  2. Save settings par click kare.

 

Ab aapke facebook page me youtube button add ho gaya hai. Aur kuch hi der me aapke youtube videos yaha par show hone lag jayenge. Iss tarah se aap apne youtube channel ka button facebook page me add kar sakte hai. Aur youtube videos ko facebook page se link kar sakte hai. Niche image me dekh sakte hai facebook page me youtube button aur videos.

Youtube Videos Ko Facebook Page Se Link

 

I hope, aap samajh gaye honge ki youtube videos ko facebook page se link kaise karte hai. Post se related aapke koi doubt ya saval ho to comment karke puch sakte hai. Aur agar ye post helpful lagi ho to isse social networking sites par share bhi jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

9 thoughts on “Youtube Videos Ko Facebook Page Se Link Kaise Kare

  • Sir mein Facebook page pe blog ke post ko published karta hu toh mere ek post pe 50 views aate hai lakin sir jo blog hai usmei jo post hai 1 bhi views nahi add hote hai Facebook page ke sir plzzzzzzzzzzzzzz

    Reply
  • Bhajan singer -Vivek Tiwari

    Sir jis tarah se aapne fb ke page par video channal add kiya kya facebook id par post ki jagah bhi wo isi tarah add kiya ja sakta hai.
    Agr kiya ja sakta hai to kaise?

    Reply
    • youtube videos ko aap fb page se link kar sakte hai, facebook id par aap youtube se embed code post kar sakte hai. jisse ki aapka video fb par youtube se link ho jayega.

      Reply
  • chauhan dilip

    kya sir facebook me hamari video me views aayedi to youtube me bhi facebook ki views show hogi

    Reply
  • Bhuvan Prasad Krishna Koirala

    मैने भी आप ने बताये अनुसार youtube channel को add किया मगर क्या होगया id enter करके save करना भुल गया l अब facebook page मे मेरा कोइ भी youtube video show नही हो रहा है l idea बताइए

    Reply

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.