FACEBOOKSOCIAL NETWORK

Facebook Page Auto Reply Kaise Start Kare

Hello friends, aaj mein aapko bataunga ki facebook page auto reply kaise start karte hai. Humne ye to jaan liya hai ki facebook account kaise banaye, aur page banakar paise kaise kamaye, iske saath hi ye bhi jaana ki friend request ko disable kaise karte hai, aur FB account ke password ko reset karna bhi sikh liya hai. Ummeed hai ki aapne fb par apna page bana liya hoga aur usme apne interest se related post bhi kar chuke honge, to chaliye ab jaante hai ki facebook page auto reply shuru kaise kare.

Facebook Page Auto Reply Kaise Start Kare

Step 1

Sabse pehle apne facebook account me login kare, aur apna facebook page open karke niche diye steps follow kare.

Facebook Page Auto Reply

  1. Settings par click kare.
  2. General par click kare.
  3. Allow box me tick kare.
  4. Save changes ki button par click kare.

Ab aapke page par direct messaging shuru ho gayi hai, aur koi bhi page par message kar sakta hai. Agar hum yeh option enable nahi karenge to auto reply ka option nahi aayega.

Hum lagatar facebook par online nahi rehte hai, ese me agar koi aapke fb page par message karta hai to ho sakta hai ki aapko reply karne me kaafi time lag jaaye, to iska solution ye hai ki hum apne fb page par auto reply ka option enable kare.

Facebook page me auto reply shuru karne se hum apne fans ko automatic reply kar sakte hai, jisse unke saath humara ek accha relations ban sakta hai.

 

 

Step 2

Facebook Page Auto Reply

  1. Settings par click kare.
  2. Messaging par click kare.

 

Step 3

Ab agle page me instant replies option open hoga, yaha par niche diye gaye steps ko follow kare.

 Facebook Page Auto Reply

  1. Turn on instant replies ke box par tick kare.
  2. Yaha par apna auto reply message type kare, jo bhi message aap apne followers ko dena chahate hai.
  3.  Save reply button par click kare.

Lijiye dosto ab aapka auto reply message set ho chuka hai, ab jo bhi aapke page par message bhejega, aur aap online nahi hai to bhi usse aapka auto reply message automatically pahuch jayega.

 

Video Dekhe


Aapko yeh jaankari kaisi lagi, apna sujhav jarur de. Aur aapk koi saval ho to aap comment karke apne puch sakte hai. Aur agar aapko ye post acchi lagi ho to apne dosto ke sath share karna na bhule.

 

Ye Bhi Padhe

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

One thought on “Facebook Page Auto Reply Kaise Start Kare

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.