YOU TUBE

Youtube Ki Useful Aur Most Popular Tips and Tricks in Hindi

Youtube ki useful aur most popular tips and tricks ke bare me aaj iss post me hum janenge. Youtube ek popular social media website hai jaha par log videos upload aur share kar sakte hai. Facebook aur google ke baad youtube world ki sabse jyada use hone wali site hai.

Lakho videos youtube par daily upload hoti hai aur dekhi jati hai. Aur lagbhag 1 billion hours se bhi jyada youtube par videos dekhi jati hai. Yahi nahi lakho log youtube par video upload karke acchi khasi earning bhi kar rahe hai.

Youtube google ka hi product hai aur isme kai sare features hai. Bahut se logo ko inn features ke bare me pata nahi hai. Agar aap bhi unme se ek hai to aaj mein aapko youtube ki useful aur most popular tips and tricks ke bare me batane jaa raha hu.

Youtube Ki Useful Aur Most Popular Tips and Tricks in Hindi

Youtube ki bahut si aisi tips and tricks hai jinhe mostly youtube users nahi janate hai. Lekin yahapar mein youtube ki useful aur most popular tips and tricks aapko batane wala hu. Jinhe jankar aap youtube ko aur bhi acchi tarike se access kar sakte hai. To chaliye ab aapka jyada time na lete huye start karte hai.

Youtube Par Video Upload Kaise Kare

Youtube me video upload karna koi muskil kaam nahi hai. Lekin agar aap pehli baar youtube par videos upload kar rahe hai to ye thoda sa muskil lag sakta hai. Lekin second time aap iss process ko bahut jaldi aur easily kar sakte hai. Agar aap nahi janate ki Youtube par video upload kaise karte hai to iske liye ye post padhe.

Youtube Se Video Download Kare

Hazaro lakho video youtube me daily upload aur share kiye jate hai. Lekin jab hume koi video pasand aata hai aur hum usse download karna chahte hai to isme hume thodi problem hoti hai. Kyuki yaha par koi video download karne ka option hi available nahi hai.

Isliye bahut se log other downloading software ka use karke youtube se video download karte hai. Lekin mein aapko pichli post me bata chuka hu ki. Without any software Youtube se video download kaise karte hai.

Youtube Browser Me Unwanted Videos Ko Block Kaise Kare

Youtube duniya ki top video library hai. Iss plateform par rojana upload hone wale lakho karodo videos me se innapropriate videos bhi shamil hote hai. Aur jab bhi aap apne internet browser me youtube ki website open karte hai to youtube video gallery me ye unwanted videos bhi show hote hai.

Aur agar aap baccho ke samne ya apni family ke sath youtube open kar rahe hai to aise me kafi sharmindagi ka samna karna pad sakta hai. Isliye aise Youtube unwanted videos ko block karne ke liye iss link me jaye.

Youtube Se Paise Kaise Kamaye

Agar aapko online ghar baithe paise kamana hai to youtube sabse easiest way hai. Iss platform par aap bina kharcha kiye free me online earning kar sakte hai. Iske liye aapko video banakar youtube par upload karna hoga aur aapki earning start ho jayegi. Youtube se paise kaise kamate hai ye janane ke liye iss linke me jaye.

Youtube Videos Ko Offline Kaise Dekhe

Bina internet connection ke aap youtube par videos nahi dekh sakte hai ye aap acchi tarah se janate honge. Lekin videos ko offline save karke baad me without data connection ke youtube offline video dekh sakte hai. Youtube videos ko offline kaise dekhte hai iske liye yaha click kare.

Youtube Se Mp3 Song Download Kaise Kare

Youtube par upload hone wale songs mostly video format me hote hai. Aur agar kisi karan aap sirf youtube se mp3 song download karne ki soch rahe hai to ye thoda sa tricky ho sakta hai. Lekin aapko jyada sochne ki jarurat nahi hai. Iss simple aur easy trick se aap aasani se Youtube se mp3 song download kar sakte hai.

Ek Youtube Channel Ko Dusre Channel Par Transfer Kaise Kare

Aap apne youtube channel ki sabhi videos, comments, likes, subscribers etc kisi dusre youtube channel par transfer kar sakte ho. Youtube channel ke all data ko transfer karne ke liye aapke pass pehle se monetized youtube channel hona chahiye. Tabhi aap apne uss channel ko another channel par move kar sakte ho. Youtube ki sabhi videos or all data ko other channel par transfer kaise karte hai. Janane ke liye iss link me jaye.

Youtube Par MP3 Song Upload Kaise Kare

Jiss tarah se youtube se mp3 song download karna aasaan hai. Ussi tarah se youtube par mp3 songs upload karna bhi bahut hi simple hai. Youtube par mp3 songs upload kaise karte hai. Janane ke liye iss link ko follow kare.

Youtube Videos Ko Automatically Repeat Kaise Kare

Agar aap youtube par video dekhte honge to aapko ye jarur pata hoga ki video end hote hi next video automatically play ho jati hai. Aise me agar aapko koi video pasand aata hai aur dubara se dekhna chahte hai to aapko video ko manually play karna padega. Lekin aapko aisa karne ki jarurat nahi hai ab jiss video ko aap baar baar dekhna chahte ho. Usse inn do tariko youtube loop or listen and repeat site ki help se automatically repeat kar sakte hai.

Youtube Ke Mini Player Feature Ka Kya Use Hai

Youtube ne pichle kuch samay me kai new features add kiye hai. Aur haal hi me youtube ne ek naya feature add kiya hai jiska name mini player hai. Youtube ke new mini player feature ka kya use hai iske liye iss link par click kare.

Youtube Ke Background Colour Ko Kaise Change Kare

Youtube background color badalne ke liye pehle hume dark theme for youtube, dark skin for youtube etc extension ko chrome me add karna padta tha. Iske baad hi hum youtube ka background color change kar sakte they. But ab aap youtube par ek click se hi background color badal sakte hai. Youtube background colour ko kaise change kare ye janane ke liye iss post ko padhe.

Youtube ki aur jyada jankari ke liye yaha click kare.

I hope aapko youtube ki useful aur most popular tips and tricks ki ye jankari pasand aayi hogi. Agar aapko ye post acchi lagi ho to isse apne friends ke sath share jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.