YOU TUBE

Youtube Videos Ko Automatically Repeat Kaise Kare Youtube Loop Aur Listen And Repeat Ki Help Se

Agar aap youtube par video dekhte honge to aapko ye jarur pata hoga ki video end hote hi next video automatically play ho jati hai. Aise me agar aapko koi video pasand aata hai aur dubara se dekhna chahte hai to aapko video ko manually play karna padega. Lekin aapko aisa karne ki jarurat nahi hai ab jiss video ko aap baar baar dekhna chahte ho. Usse niche di gayi do tricks youtube loop or listen and repeat site ki help se automatically repeat kar sakte hai.

Youtube Loop Aur Listen And Repeat Ki Help Se Youtube Videos Ko Automatically Repeat Kaise Kare

Video ko automatically repeat karne ki ye do tarike bahut hi simple aur easy hai. Iske liye niche diye steps ko follow kare. To chaliye start karte hai.

Youtube Loop

Pehli trick hai youtube loop, jiski help se aap youtube browser me hi videos ko auto play kar sakte hai. aur same video ko bar bar dekh sakte hai. Isme aapko video ko open karna hai. Open hone ke baad video me right click karenge to aapko youtube video loop karne ke liye option mil jata hai. Chaliye step by step janate hai.

Step 1

Sabse pehle youtube browser me jaye aur uss video ko open kare jisse aap automatically repeat set karna chahte hai. Ab video me kahi par bhi right click kijiye. Ab aapko kuch options show honge isme loop par click kare.

automatically repeat

 

Step 2

Ab aapko video ko play karna hai, bus aapko itna hi karna hai. Loop par click karne ke baad aapka video repeat hona start ho jayega. Aap dekhenge ki aapki loop select ki gayi video automatically repeat ho rahi hai.

 

Listen and Repeat

Pichli post me humne 2 tricks ke bare me jana tha 1st youtube se video download kaise karte hai. Aur 2nd youtube se mp3 music download kaise karte hai. Issi tarike se listen and repeat trick bhi kaam karti hai. Bus aapko youtube video ko open karna hai aur video url me repeat word add karna hai. Chaliye niche diye easy steps me janate hai.

Step 1

Sabse pehle apne computer ya mobile me youtube browser open kare. Aur jiss video ko bar bar auto replay karna hai usse open kare. Video open ho jane ke baad aapko video url me thodi si editing karni hai. Yani ki video url ke beech me repeat word add karna hai, aur enter key press karna hai.

 

 

For example:- aapko youtube.com ke beech me (.) dot se pehle repeat word add karna hai.

Pehle video ka url kuch iss tarah se hoga.

  • https://www.youtube.com/watch?v=Al_IXLVwhGA

Repeat word add karne ke baad aisa hoga.

  • https://www.youtuberepeat.com/watch?v=Al_IXLVwhGA

Repeat word add karne ke baad enter dabaye.

 

Step 2

Enter par click karte hi ek new site open hogi, jisme aapko selected video play hona start ho jayegi. Aur video jaise hi khatm hogi ye fir se repeat start ho jayegi, image dekhe.

 

automatically repeat

 

Issi tarah se aap apni manpasand video ko listen and repeat site aur youtube loop option ki help se bar bar dekh sakte hai. I hope aapko ye post youtube videos ko automatically repeat kaise karte hai, pasand aayi hogi. Agar aapko ye tricks acchi lagi ho to  hinglish help youtube channel ko subscribe karna na bhule. Aur iss post ko jyada se jyada apne dosto ke sath share bhi jarur kare.

 

Video Dekhe

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.