X

Yahoo India Par Account Kaise Banaye

Hi friends, pichle post me hum gmail account banane ke bare me jaan gaye hai, aur iss article me hum janenge ki yahoo india par account kaise banate hai.

Koi bhi online work ho jaise net banking, job ke liye apply karna, schoo aur colleges me online admission etc sabhi ke liye email id ka hona bahut jaruri hai, aur bina email account ke hum ye sare kaam nahi kar sakte hai.

 

Yahoo India Par Account Kaise Banaye

Yahoo mail par account banana bahut easy hai, aur niche diye steps follow karke aap easily yahoo par sign up kar sakte hai, to chaliye step by step jaante hai ki yahoo email kaise banaye.

 

??Google+ Account Kaise Banaye

Step 1

Sabse pehle in.yahoo.com par jaye, aur top rightside me sign in link par click kare.

 

 

??Google Analytics Me Account Banakar Blog Se Kaise Jode

Step 2

Ab new account banane ke liye Sign up par click kare.

 

 

 

??Hostgator Hosting Me Email Create Kaise Kare

Step 3

Ab agle popup me jaruri fields bhare.

 

  1. Apna name dale.
  2. Yahoo id choose kare.
  3. Password set kare.
  4. Apna 10 digit ka mobile no dale.
  5. Apni date of birth bhare.
  6. Gender select kare.
  7. Continue par click kare.

 

 

??Youtube Channel Kaise Banaye

Step 4

Ab aapko ek code milega.

  1. Image se dekhkar code dale.
  2. Submit par click kare.

 

 

??Twitter Account Kaise Banaye

Step 5

Ab aapko apna mobile number verify karna hai, iske liye aapke phone par code send kiya jayega.

  1. Agar message ke through code receive karna hai to Text me an Account Key par click kare.
  2. Agar call se code pana chahte hai to Call me with an Account Key par click kare.

 

 

??Facebook Account Kaise Banaye

Step 6

Ab aapko chune gaye option se aapke phone par ek code aayega,

  1. Code ko box me dale.
  2. Verify par click kare.

 

Congratulations! aapka yahoo mail par account ban gaya hai.

 

 

Ummeed hai aapko ye post acchi lagi hogi, agar ha to isse social media par share karna bilkul na bhule, aur agar aapka koi saval hai to aap seedhe comment ke thru humse puch sakte hai.

 

Read Also

??Blogging Ke Bare Me Jane

??Advance Excel Ke Barey Me Jane

??Facebook Tricks

??Online Paise Kaise Kamaye

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More