X

Google Gmail Account Kaise Banaye

Dosto aaj hum janenge ki google gmail account kaise banaye, ye to aap jaante hi honge ki puri duniya me jyadatar log ab internet ka use karne lage hai, aur ek dusre se contact karne ke liye email ka use karte hai.

Yaha tak ki bank account, school aur college admission, aur job ki apply karne ke liye bhi log ab email account ka use kar rahe hai.

Email account ab har kisi ki jarurat ban gayi hai aur google me apna email account kese banate hai, issi ke baarey me aapko iss post me detail me bataya jayega.

Google Gmail Account Ya Email ID Kya Hai

Email ID internet par aapka ek unique online address hota hai, aur iske madhyam se hum ek dusre ko electronic message bhejte aur prapt karte hai.

Email id me @ sign se pehle humara user name hota hai aur @ sign ke baad uss site ka link hota hai jisme humne ID banayi hai.

Meri email id “online.excel123@gmail.com” me dekh sakte hai ki user name online.excel123 hai, aur ye gmail.com par banayi gayi hai.

Email ID ko hum aur bhi bahut si sites par bana sakte hai par me aapko google ki free service Gmail par account banane ke baare me bataunga, jisse ki aap google ki aur dusri service ka bhi labh utha sakte hai.

Google Gmail Account Kaise Banaye

Google gmail account banana bahut hi easy hai, to chaliye step by step jante hai ki kya karna hai.

 

??Facebook Me Account Kaise Banaye

Step 1

Sabse pehle www.gmail.com me jaye, aur create account par click kare.

 

 

??Twitter Account Kaise Banaye

Step 2

Iske baad ek form open hoga, isme apni detail bharna hai.

  1. Apna pura name bhare.
  2. User name bhare, isme alpha aur numeric dono ka use kare.
  3. Password dale.
  4. Password ko dubara se bhare.
  5. Apni birth day ki date bhare.
  6. Gender select kare.
  7. Apna mobile number dale.
  8. Pehle se koi email id hai to bhare nahi to isse blank rehne dijiye.
  9. Location (india) select kare.
  10. Next step button par click kare.

 

??Youtube Channel Kaise Banaye

Step 3

Iske baad google ki privacy & terms ki ek popup window open hogi. Isse padh sakte hai, aur I Agree button par click kare.

 

??Google+ Me Account Kaise Banaye

Step 4

Ab next page me apna mobile number verify karna hai. Google yeh verification isliye karta hai ki kahi aapka account fake to nahi hai.

  1. Apna mobile number bhare.
  2. Verification code ke liye inme se koi ek option chose kare.
  3. Continue ki button dabaye.

 

??Yahoo India Me Account Kaise Banaye

Step 5

Ab aapke mobile me ek code aayega.

  1. Mobile me aaya code yaha dale.
  2. Continue ki button par click kare.

 

??Pinterest Par Account Kaise Banaye

Step 6

Agle page me welcome message aayega, jiska matlab hai ki aapka gmail account ban gaya hai, Get started par click kare.

 

Congratulations! aapka gmail account ready ho gaya hai, isme aap dekh sakte hai google dwara kuch emails aapke inbox me bheji hai.

Google gmail account create hone ke baad ab aap kahi bhi apni gmail id ko open kar sakte hai, aur email send aur receive kar sakte hai.

I hope, aapko ye post pasand aayi hogi, aur aapke man me koi saval ho to aap comment karke puch sakte hai. Aur agar aapko ye post acchi lagi ho to isse social networking sites par share bhi jarur kare.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More