X

TWITTER ACCOUNT KAISE BANAYE

Dosto aaj internet ki duniya me jyadatar log social networking sites par apne dosto aur janne walo se jude huye hai, aur inn sites me sabse upar facebook, twitter aur google+ jaisi sites ka naam aata hai. Aaj ki post me hum janenge ki twitter kya hai, aur twitter account kaise banaye.

Twitter Kya Hai

Twitter facebook aur google+ ki hi tarah ek social networking site hai jiss par hum apne vicharo ko poori duniya se share kar sakte hai, aur apne business ko bhi badhava de sakte hai. Twitter dusri social sites se thoda sa alag hai kyuki yaha par ek baar me sirf 140 sabd se jyada share nahi kar sakte hai aur yahi karan hai ki badi badi hastiya bhi isko pasand karti hai. Twitter par hum jo bhi share karte hai usko “tweets” ke naam se jana jaata hai.

Twitter Account Kaise Banaye

Dusri social networking sites ki hi tarah twitter par bhi apna account banana bahut aasan hai, aap niche diye gaye steps ko follow kare.

Step 1

Sabse pehle twitter.com park click kare aur sign up button dabaye.



Step 2

Agle page me ek form khulega, yaha par detail daale.


1. Apna name likhe.
2. Apni email id ya phone no. daale.
3. Apna password chune.
4. Sign up button par click kare.

Step 3

Agle page me niche diye steps follow kare.


1. Apni country ka name (India) select kare.
2. Apna 10 digits ka mobile number daale.
3. Next ki button par click kare.

Step 4

Ab aapke mobile par ek code message aayega, iss code ko yaad kar le aur niche iss field me daale.


1. Mobile me aaya hua code yaha daale.
2. Verify ki button par click kare.

Agar dusra code mangvana chahte hai ya koi dusra phone no. enter karna chahte hai to upar diye do option “Re-send SMS” aur “Edit phone number” ka use kar sakte hai.

Step 5

Ab jo agla page khulega usme aapko apna username choose karna hai.


1. Apna username daale, jo pehle se kisi aur ka na ho. example:- rameshsingh7218
2. Aap chahe to suggestions me se bhi chun sakte hai.
3. Next ki button dabaye.

Step 6

Aapka twitter account taiyar hai, let’s go! button dabaye.


Step 7

Niche apne interest ke according tick karke continue button dabaye.



Step 8

Follow 40 & continue par click kare.


Step 9

Apni photo ko upload kare.


1. Upload photo par click kare aur apne system space se photo select karke Apply ki button dabaye. 
2. Continue ki button par click kare.
3. Aap chahe to abhi ke liye photo upload skip kar sakte hai.

Step 10

Skip this step par click kare.


Follow 20 & continue par click kare.


Ab aapka twitter account taiyar hai, hame twitter par follow karne ke liye yaha click kare.


Ab aap samajh gaye honge ki apna twitter account kaise banate hai, agar kisi tarah ka savaal ho to aap comment karke puch sakte hai.

Facebook page banakar paise kamaye
Blogger me twitter widget lagaye
Facebook me account banaye

Aur ab ek request aap se, agar ye post pasand aayi ho to isse share bhi jarur kare.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More