WORDPRESS

WordPress Themes Delete Kaise Kare

lWordPress themes delete kaise kare iss post me hum janenge so agar aapka blog wordpress platform par hai aur apne wordpress blog me aapne multiple themes install ki hui hai aur ab apni main theme ko chhodkar baki sabhi unwanted wordpress themes ko remove karna chahte hai aur nahi janate ki kaise karte hai to ye post aapke liye hi hai.

WordPress par themes install karna bahut hi easy hai appearance section me themes option par click karke aap easily wordpress themes install karke activate kar sakte hai aur apne wordpress blog par easily apply kar sakte hai ye to aap achchi tarah se janate hi honge.

Lekin wordpress me ab unwanted themes remove karne ka koi option available nahi hai jabki pehle appearance section me hi themes par delete karne ka option hota tha jiske through kisi bhi faltu wordpress theme ko remove kar sakte they.

Ab new update ke baad wordpress me aap kisi bhi theme ko delete nahi kar sakte hai iske liye dusra method use karna hoga iske liye aapko apne blog ka cpanel use karna hoga aur cpanel se unwanted wordpress themes delete kaise karte hai chaliye step by step janate hai.

WordPress Themes Delete Kaise Kare

Yahapar hum Hostgator hosting cpanel par wordpress theme delete karne ke bare me janenge, vaise abhi hosting service me ye process same hota hai isliye niche bataye steps ko dhyan se follow kare. 

1 Sabse pehle Google chrome open kare, koi other browser bhi open kar sakte hai. 

2 Iske baad URL bar me Yourwebsiteurl/Cpanel enter karke link open kare.

3 Ab jo next interface open hoga isme apne site cpanel ka Username aur password enter karke login kare.

4 Iske baad cpanel me Domain section me Domains option par click kare.

5 Ab next interface me apni Website url ke samne Public html link par click kare.

6 Iske baad public html page me WP content option par click kare.

7 Ab file manager page me Themes option par click kare.

8 Iske baad next interface me aapke wordpress blog par installed sabhi themes show ho jayengi, ab Main theme ko chhodkar yahapar:

  • Other theme par click karke select kare.
  • Theme select karne ke baad top side me Delete option par click kare.
  • Ab ek pop-up open hoga isme Skip the trash and permanently delete the files option par tick kare.
  • Ab finally Confirm option par click kar dijiye.

9 Thik issi prakar se baki sabhi Themes ko one by one karke Delete kar dijiye.

I hope ab aap samajh gaye honge ki wordpress blog me sabhi unwanted themes ko delete kaise karte hai, agar ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare. 

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.