WORDPRESS

WordPress Password Change Kaise Kare

How to reset wordpress password yani ki wordpress password change kaise kare iss post me mein aapko batane wala hu so agar aap ek blogger hai aur wordpress platform par aapka blog hai aur apne wordpress blog ka password bhool gaye hai to iss post me bataye steps ko follow karke easily aap apne wordpress ka password reset kar sakte hai.

WordPress blog ka password aap cpanel ke through bhi kar sakte hai apni hosting service me login karke bhi aap wordpress password badal sakte hai lekin yahapar hum wordpress me password reset karne ke bare me janenge agar aap wordpress me logged in hai aur aapko apna password change karna hai to niche diye gaye easy steps follow kare.

WordPress Password Change Kaise Kare

1 Sabse pehle apne WordPress me login kare.

2 Iske baad wordpress dashboard me left side menu me Users option par click karke All users option par click kare.

3 Ab next interface me apne Username par touch karke Edit option par click kare.

4 Iske baad next page me Account management section me Set new passssword option par click kare.

5 Ab pehle se available password ko remove karke New password type kare.

6 Finally bottom side me Update profile option par click kar dijiye.

Iss tarah se easily aap apne wordpress blog ka password change kar sakte hai agar aap already apne wordpress blog par logged in hai to agar aapne login nahi kiya hua hai to iss condition me password reset method alag hoga, login page me lost password option par click karke aur fir apni registered email id enter karke wordpress password change kar sakte hai.

I hope ab aap samajh gaye honge ki wordpress password bhool jane par kaise aap apna password reset kar sakte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.