FACEBOOK

Facebook Users Ka Leak Hau Data Ho Raha Hai Sell Puri Jankari

Pichle kuch samay pehle facebook ka data hack hua tha ye aap janate hi honge. Iss mamle me facebook kafi time se vivado me ghira hua tha. Lekin facebook ke liye ab ek aur badi problem saamne aayi hai. BBC ke dwara ek report jaari ki gayi hai. Jisme ye baat saamne aayi hai ki facebook ka hacked data ab becha jaa raha hai.

Iss report ke according facebook ke jo lagbhag 81 thousand users ke accounts hack huye they. Ab unn users ke private messages sell hone start ho gaye hai. Facebook ka chori hua data ki sell ka ye mamla last september me tab samne aaya. Jab ek internet form me FB Saler name ke user ne iss baat ki jankari share ki.

Facebook Users Ka Leak Hau Data Ho Raha Hai Sell Puri Jankari

Digital shadow name ki ek cyber security agency ne iss case ki investigation ki. Aur paya ki lagbhag eighty thousand hacked facebook accounts ke sath sath unke private messages bhi sell ho rahe they. Iss mamle ki sacchai janane ke liye BBC ki russian service unn paanch fb users se mili. Jinka account hack hua tha aur ab text messages aur personal photos bhi beche jaa rahe they. Investigation me unn paanch facebook users iss baat confirm bhi kar liya hai.

Jin users ke facebook account ki detail bechi jaa rahi hai. Unme se mostly russia, brazil, ukrain, UK Aur america ke sath other country ke users bhi shamil hai. Iss report ke anusar iss baat ki pushti ki gayi hai ki ye sabhi personal data web browser ke kisi extention ya maleware websites se collect kiya gaya hai.

Iss report me ye bhi bataya gaya hai ki facebook data hackers inn private message ko 10 cent me sell kar rahe they jisse st. Petersburgh ki ek website par publish kiya gaya tha.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.