WHATSAPP

Whatsapp Status Download Kaise Kare Mobile Gallery Me – How to Download Whatsapp Status

Whatsapp status download kaise kare aaj iss post me hum janenge. Agar aap whatsapp user hai to whatsapp me aap aur aapke friends apna whatsapp status bhi jarur update karte honge.

Aise me agar aapko kisi friend ka whatsapp status pasand aata hai to aap jarur usse apni mobile gallery me download karne ke bare me sochte honge.

Lekin whatsapp me ab aisa koi option nahi hai jiske through hum kisi ke status ko download kar sake, isliye aaj ki iss post me jo trick mein aapko bataunga, iski help se aap kisi ka bhi whatsapp status ek click me download kar sakte hai.

Whatsapp Status Download Kaise Kare Mobile Gallery Me – How to Download Whatsapp Status

Agar aap apne friends ka whatsapp status apni mobile gallery me download karna chahte hai to iske liye aapko playstore se ek app download karni hai aur uske baad niche diye steps follow kare.

1 Sabse pehle play store se Status saver App download kare.

2 Ab isse open karenge to ek popup open hoga isme media access dene ke liye Allow par click kare.

3 Iske baad jo next interface open hoga isme aapko iss app ko use karne ka tarika bataya jayega, to yahapar Got it ke option par click kare.

4 Ab next page me Open whatsapp ke button par click kare.

5 Ab aap apne whatsapp me pahuch jaoge yahapar Status section par click kare.

6 Iske baad aapke whatsapp account sabhi contacts aa jayenge jinhone apna whatsapp status update kiya hoga. Ab jiss friend ke whatsapp status ko download karna hai usse open kare aur status ko pura watch kare.

7 Whatsapp status dekhne ke baad wapas status saver app open kare. Jaise hi aap open karenge yahapar sabhi dekhe gaye whatsapp status aa jayenge.

8 Ab inn sabhi status photos aur videos ko apni mobile gallery me save karne ke liye sabhi ko hold press karke select kare aur top side me Download icon par click kar dijiye.

Iss tarah se kuch hi der me aapki mobile gallery me sabhi status photos aur videos save ho jayegi.

I hope aapko whatsapp status download karne ki ye jankari helpful lagi hogi. Agar post pasand aayi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.