Uncategorized

WhatsApp Par Without Online Aaye Message Kaise Send Kare

Whatsapp par without online aaye message kaise send kare aaj ki iss post me mein aapko batane wala hu. To agar aap bhi apne friends ko without whatsapp app open kiye message send karna chahte hai. To iss post me batayi gayi trick ko follow kare.

Dosto whatsapp ke bara me to aap acchi tarah se janate hi honge. Lagbhag har vyakti jo apne android mobile me internet ka use karta hai. Vo whatsapp application ka bhi use karta hai. Aur whatsapp bhi apne users ke liye naye naye features lata rehta hai.

Whatsapp ke inn features me ek whatsapp blocking feature. Jiske through aap kisi ko bhi block or Unblock kar sakte hai. Yahi nahi whatsapp picture in picture mode jisme aap whatsapp par hi youtube se shared video dekh sakte hai. Aur bhi bhot kuch useful features hai jo whatsapp apne users ko provide karta hai.

Whatsapp platform par mostly users apne friends aur janane walo ke sath. Photo, video messages share karte hai. Aur whatsapp messenger world top most popular messaging app ban gayi hai. Ye to aap acchi tarah se janate hi honge.

Whatsapp Itna Popular Kyu Hai

Whatsapp ki popularity ka andaja aap iss baat se laga sakte hai. Ki 180 countries me approx 1.5 billions users whatsapp platform ka use karte hai.

Lagbhag 58% percentage whatsapp users per day kai baar whatsapp ko access karte hai. Aur apne dosto ke sath connect rehte hai.

Ek average ke mutabik har din whatsapp users ke through 23 baar se bhi jyada whatsapp ko check kiya jata hai.

Whatsapp ki popularity ko dekhte huye ye anumaan lagaya ja raha hai ki. USA me 2021 tak iske users ki sankhya badhkar 25.6 million tak ho jayegi.

All over the world whatsapp 3rd most donwloaded app hai.

Iske sath hi whatsap lagbhag 12 countries me banned bhi hai.

Whatsapp application ka use karne wali lagbhag 3 million companies hai.

WhatsApp Par Without Online Aaye Message Kaise Send Kare

Whatsapp ki popularity ke liye aap acchi tarah janate hi hai. Jab bhi hume whatsapp par kisi ko message send karna ho to hume whatsapp ko open karna padta hai. Fir uss contact ko open karna hota hai jisse message send karna hai. Iske baad message type kar send button press karte hi uss usser ko message sent ho jata hai.

Iss process ko aap acchi tarah se janate hi honge. Lekin iss post me mein aapko bataunga bina whatsapp app ko open kiye. Aap kis tarah se message bhej sakte hai bus iske liye aapke android mobile phone me Google assistant hona chahiye. Jo ki aajkar har phone me pehle se inbuilt hota hai. Iske baad aapko niche diye gaye steps ko follow karna hai.

Step 1

Sabse pehle aapko apne android mobile phone me Home key ko thoda long press karna hai.

Step 2

Iske baad aapke phone me google assistant open ho jayega. Ab aapko bolna hai “Send whatsapp message to contact name“.

For example agar aapko Ram ko message bhejna hai to aapko bolna hai “send message to Ram”.

Step 3

Aisa bolte hi google assistant aapse puchega ki aap kya message send karna chahte hai. To aapko jo message bhejna hai usse bol dena hai.

Step 4

Message bolne ke baad ab google aapse puchega ki message me kuch change karna hai ya direct send karna hai.

Step 5

Agar message ko badalna hai to change bolkar new message boliye. Agar message Ok hai to send bol dijiye.

Send bolte hi aapka message sidhe aapke uss whatsapp contact ko chala jayega. Jisse aapne select kiya hoga.

Iss easy aur simple trick se aap bina whatsapp open kiye. Apne kisi bhi friends ko message send kar sakte hai. So friend ab aap samajh hi gaye honge ki whatsapp par without online aaye message kaise send karte hai.

Trick pasand aayi ho to isse apne friends ke sath bhi share kare. Aur agar aapka koi sujhav ho to comment me jarur bataye.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.