Whatsapp Par Poll Kaise Create Kare – New Whatsapp Updaet
Whatsapp par poll create kaise kare iss post me mein aapko batane wala hu, whatsapp ne ek new feature update roll out kiya hai jiske through aap whatsapp me kisi bhi chat or group me poll create aur kisi bhi friend or group members ka opinion le sakte hai.
Poll me aap apne according koi bhi question puch sakte hai aur uss question ke minimum 2 aur meximum 12 options answers ke taur par add kar sakte hai, ek option me correct answer enter karke baki other options me wrong answers add kar sakte hai.
Filhal ye latest whatsapp update whatsapp ke beta users ke liye roll out kiya gaya hai so agar aap whatsapp ka beta version use nahi karte hai to aapko thoda wait karna hoga halakin aane wale kuch hi dino me aapko ye naya whatsapp update mil jayega.
Whatsapp Par Poll Kaise Create Kare – New Whatsapp Updaet
1 Sabse pehle Google playstore open karke Whatsapp update kare.
2 Iske baad Whatsapp open kare.
3 Ab koi bhi Chat or Whatsapp group open kare.
4 Iske baad message bar me Attachment icon par click kare.
5 Ab diye gaye options me se Poll option par click kare.
6 Iske baad next interface me Question ki field me apna question enter kare.
7 Ab options section me add option par click karke 1st option enter kare.
8 Iske baad 2nd option add kare, iss tarah se 12 options tak aap add kar sakte hai.
9 Finally poll create karne ke liye Send option par click kar dijiye.
Ab agar aapne group me poll send kiya hai to group ka koi bhi member aapke poll me participate kar sakta hai aur aapke question ke kisi bhi option ko select karke apna answer de sakta hai.
Share kiye gaye poll ke bottom side me view votes option par click karke aap poll ki detail dekh sakte hai, kis member ne kis option ko select kiya or kitne members ne sahi jawab select kiya hai aur kitno ne galat ye puri detail aap check kar sakte hai.
Thik issi prakar se group ka koi bhi member aapke share kiye gaye poll ka statics dekh sakte hai, iss tarah se easily aap ye whatsapp new update ka use kar sakte hai.
I hope, ab aap samajh gaye honge ki whatsapp ke iss new update poll ka use kaise karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi hai to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.