WHATSAPP

WhatsApp New Update Do Not Disturb Kya Hai Kaise Use Kare

WhatsApp new update do not disturb kya hai kaise use kare iss post me hum janenge iss new whatsapp update ke through phone me do not disturb enable enable karne ke baad whatsapp par bhi automatically dnd apply ho jayega.

Phone ki settings me do not disturb feature on karne ke baad aapke phone me koi bhi incoming call aur message nahi aayega, koi notification nahi milega aur sabhi media sound bhi disable ho jayega ye aap janate hi honge.

Lekin phone me do not disturb enable karne ke baad bhi whatsapp par incoming voice call or video call aati hai kyuki whatsapp par do not disturb setting ka koi effect nahi padta hai .

Lekin iss latest whatsapp update ke baad do not disturb feature on karne ke baad aapke phone ke sath sath whatsapp par bhi do not disturb on ho jayega, iske liye aapko kya karna hai chaliye janate hai.

WhatsApp New Update Do Not Disturb Kya Hai Kaise Use Kare

1 Sabse pehle Google playstore open karke whatsapp update kare.

2 Iske baad apne Phone ki settings open kare.

3 Phone settings me Sound and vibration setting open kare.

4 Sound and vibration setting me Do not disturb option par click kare.

5 Iske baad next interface me Do not disturb option ke samne Toggle button on kar dijiye.

Apne phone me do not disturb on karne ke baad aapke whatsapp par bhi do not disturb feature enable ho jayega jiske baad aapke whatsapp par agar koi voice call karega or video call karega to vo aapko receive nahi hogi.

Whatsapp open karne ke baad agar aap Calls tab par click karenge to vahapar missed voice or video calls  logs ke sath aapko Silenced by do not disturb ek new lable show hoga, iss tarah se aap whatsapp ke iss new feature update do not disturb ka use kar sakte hai.

I hope, ab aap samajh gaye honge ki whatsapp ka latest update do not disturb kya hai aur isse kaise use karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

 

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.