WHATSAPP

Whatsapp Online Status or Last Seen Hide Kaise Kare

Whatsapp online status or last seen hide kaise kare iss post me mein aapko batane wala hu, agar aap whatsapp chat karte time apni online activity or last seen ko chupana chahte hai to aap easily hide kar sakte hai, iske liye aapko niche diye gaye easy steps follow karne hai.

Iss post me jo trick mein aapko batane wala hu iske through whatsapp par apne kisi bhi friend se chat karenge to usse aapka online status show nahi hoga iske sath hi jo aapka last seen hoga vo bhi change nahi hoga, aapka vahi last seen sabko show karega jo isse pehle aapne whatsapp open kiya hoga.

Kyuki iss trick ka use karne ke liye aapko apna whatsapp open nahi karna hai balki bina whatsapp open kiye hi apne friends se chat karni hai aur sabse khas baat ye hai ki aapko koi bhi third party app download nahi karni hai.

Bina third party app install kiye aap whatsapp chatting karte time apna last seen aur online activity hide kar sakte hai, iske liye bus aapka mobile phone ka operating system 5.0 or isse above hona chahiye, aur phone me google assistant active hona chahiye, to chaliye start karte hai aur janate hai whatsapp online activity or last see hide kaise karte hai.

Whatsapp Online Status or Last Seen Hide Kaise Kare

1 Sabse pehle apne Google assistant enable karke Voice match option on kare.

2 Iske baad google assistant ko voice command dena hai, aapko bolna hai Hey google whatsapp message to Your friend name.

  • Your friend name ki jagah par aapko apne uss friend ka name bolna hai jisse whatsapp message bhejna hai.

3 Iske baad message type karne ka option aayega to isme aapko apna Message type karke Send option par click karna hai.

4 Ab jaise hi aapka friend aapke message ka reply karega aapki mobile screen par whatsapp message popup hoga to isme aapko Reply option par click karna hai.

5 Iske baad whatsapp message type karne ka option aayega to isme aapko apna message type karke Aero icon par click kar dena hai.

Iss tarah se aap easily apne kisi bhi friend se whatsapp par chatting kar sakte hai aur iske liye aapko apna whatsapp bhi open nahi karna hoga.

Isse hoga ye ki jo aapka last seen hai vo change nahi hoga aur aapki whatsapp online activity bhi koi friend nahi dekh payega.

I hope ab aap samajh gaye honge ki whatsapp par apni online activity or last seen ko kaise hide karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

 

Video Dekhe

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.