GOOGLE

Google Settings Reset Kaise Kare – How to Reset Google Settings to Default

How to reset google settings to default yani google settings reset kaise kare iss post me mein aapko bataunga, so agar aap google user hai aur apne google account ki mostly settings ko apne according customize kar chuke hai aur ab wapas sabhi google account settings ko default settings me change karna chahte hai to iss post me batayi trick ko jarur follow kare.

Iss post me jo trick mein aapko batane wala hu iske through aap easily aur instantly apne google account ki sabhi settings ko wapas reset kar sakte hai vo bhi kuch hi seconds me, to kaun si hai ye trick aur kaise aap google ki sabhi settings ko reset kar sakte hai chaliye step by step janate hai.

Google Settings Reset Kaise Kare – How to Reset Google Settings to Default

1 Sabse pehle apne phone ki Settings open kare.

2 Iske baad App manager open kare.

3 Ab aapke samne sabhi applications aa jayengi to yahapar Google ko open kare.

4 Iske baad google app ka info page open hoga to yahapar Storage option par click kare.

5 Ab next interface me Clear cache option par click karke sabhi cache files delete kare.

6 Iske baad Manage storage option par click kare.

7 Ab next interface me Clear all data option par click kare.

8 Iske baad ek popup ayega to isme Ok option par click kare.

9 Ab back aaye aur Set as default option par click kare.

10 Iske baad next interface me Clear defaults option par click kar dijiye.

Lijiye aapka kaam ho gaya ab aapke google app ki sabhi settings default settings me reset ho gayi hai, aur jitni bhi settings ko aapne customize kiya hoga vo sabhi wapas default set ho gayi hai, iss tarah se aap easily apne google account ki sabhi settings ko fir se reset kar sakte hai.

I hope, ab aap samajh gaye honge ki google account ki sabhi setting reset kaise karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

2 thoughts on “Google Settings Reset Kaise Kare – How to Reset Google Settings to Default

  • आपके के द्वारा दी गई जानकारी बहुत ही महत्व पूर्ण एवं उपयोगी हैं

    Reply
    • गूगल सेटिंग को रीसेट करने के बारे में बहुत ही अच्छी जानकारी दी रमेश जी। ऐसे ही अच्छी अच्छी जानकारी शेयर करते रहें।

      Reply

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.