Whatsapp New Update – Kisi Ko Bhi Add Kare Without Phone Number
Abhi haal hi me ek whatsapp new update aaya hai jiski help se aap easily kisi ko bhi QR code ke through apne whatsapp account me add kar sakte hai. Aur apna qr code send karke aap bhi kisi bhi friend ke whatsapp me add ho sakte hai.
Aaj ke time me whatsapp hum sabhi ki life ka ek important part ban chuka hai aur hum apni daily life me iss platform ka use karte hai. Aise me whatsapp bhi user experince ko better banane ke liye naye naye update karta rehta hai.
Latest whatsapp update me aapko ek option milega jispar click karke aapka whatsapp QR code aa jayega, iske sath hi aapko qr code scanner bhi milega jiske through aaap other users ke qr code scane karke une apne whatsapp me add kar payenge.
Whatsapp New Update – Kisi Ko Bhi Add Kare Without Phone Number
Whatsapp ka ye naya update aapko kahapar par melega aur aap kaise iska use kar sakte hai chaliye ab step by step janate hai.
1 Sabse pehle aapko google play store me jana hai aur apna whatapp update karna hai.
2 Ab whatsapp open kare aur top right side me 3 dots par click kare.
3 Kuch option aayenge to yahapar aapko Settings par click karna hai.
4 Setting page me top side me aapke profile name ke samne aapko QR code icon show hoga ispar click kare.
5Yahapar aapka QR code aa jayega aur sath hi aapka phone number bhi hoga. Jisse aap apne kisi bhi friend ko send karke uske whatsapp me add ho sakte hai vo bhi bina apna number diye. Yahapar aapko top side me share ka optio mil jayega jiske through aap isse kisi ko bhi share kar sakte hai.
Yahi par aapko scan code ka tab bhi milega jiske through aap apne kisi bhi friend ka qr code scan kar usse apne whatsapp account me bina mobile number ke add kar sakte hai.
Iske sath hi aap sath hi aap yahapar top right side me 3 dots par click karke ke apna QR code change bhi kar sakte hai jo ki security reason se kafi useful hai.
I hope ab aap samajh gaye honge ki whatsapp new update kya hai aur isko kaise use karte hai. Agar ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share kare.
आपका आर्टिकल पढ़कर मुझे बहुत अच्छा लगा. में अक्सर आपके ब्लॉग के न्यू आर्टिकल्स पढ़ता हूं जिससे मुझे बहुत कुछ सीखने को मिला. आपके सभी आर्टिकल से टॉपिक को पूरी तरह से समझने की पूर्ण क्षमता होती है. आप इसी तरह से हमें अपना ज्ञान देते रहे इसके लिए आपका बहुत बहुत धन्यवाद
अपने बहुत ही अच्छी जानकारी साँझा की है आपके इस पोस्ट को पढ़कर बहुत अच्छा लगा और इस ब्लॉग की यह खास बात है कि जो भी लिखा जाता है वो बहुत ही understandable होता है.
aapne yah jankari kaafi acchi di hai or ise kaafi madat bhi hogi sabhi ko
whatsapp ka dark mode vala feature muje sabse achha laga. kyoki usase hamari ankho ko taklif nai hoti jab ham night ko whatsapp use karte hai tab.