X
    Categories: WHATSAPP

Whatsapp Hack Hone Pe Kya Kare – Recover your Hacked Whatsapp Account

How to recover your hacked whatsapp account yani ki whatsapp hack hone pe kya kare, kaise aap apne hacked whatsapp account ko wapas la sakte hai iss post me mein aapko batane wala hu, so agar aapka whatsapp account hack ho gaya hai aur ab aap wapas apna whatsapp recover karna chahte hai to iss post me bataye steps ko follow kare.

Whatapp ek popular messaging app hai aur internet use karne wale ya smart phone users lagbhag sabhi byakti whatsapp ka use karte hai, yahi vajah hai ki hackers ya malicious actors aaye din alag alag users ke whatsapp accounts hack karte hai taki misinformation ko spread kar sake.

Aise me agar aapka whatsapp account bhi hack ho gaya hai aur aap apne whatsapp account ko wapas recover karna chahte hai to iske liye ab aapko kya karna hai, kaise apne hacked whatsapp account par aap hacker ka access remove kar sakte hai chaliye step by step janate hai.

Whatsapp Hack Hone Pe Kya Kare – Recover your Hacked Whatsapp Account

Agar aapka whatsapp account hack ho gaya hai aur aap apne whatsapp account me access kar pa rahe hai to niche diye steps ko follow kare.

1 Sabse pehle Whatsapp open kare.

2 Ab top right corner me 3 vertical dots par click kare.

3 Iske baad Settings option par click kare.

4 Ab next interface me Chats option par click kare.

5 Iske baad kuch or options aayenge to yahapar Chat backup option par click kare.

6 Ab next interface me Bakup button par click karke apne whatsapp ka backup le lijiye.

7 Iske baad back aaye aur Account option par click kare.

8 Ab next interface me Delete my account option par click kare.

9 Iske baad bottom side me apna 10 digits ka Mobile number enter kare.

10 Aur Delete my account option par click karke apna whatsapp account delete kar dijiye.

11 Ab fir se aapko apne whatsapp account me login karna hai, iske liye whatsapp open karke Agree and continue button par click kare.

12 Iske baad apne Mobile number enter karke Next button par click kare.

13 Ab ek popup aayega to isme Ok option par click kare.

14 Iske baad next interface me Code enter karne ka option aayega aur sath aapke number par ek OTP code bhi aayega jo automatically yahapar fill ho jayega. Agar nahi aata hai to Resend code option par click karke firse code mangwa sakte hai.

15 Ab backup ka ek popup open hoga to isme Continue option par click kare.

16 Iske baad aapka backup find ho jayega to yahapar Restore option apr click kare.

17 Ab backup restore hone ke baad Next button par click kare.

18 Iske baad ek popup open hoga to isme Restore now option par click kare.

19 Ab next interface me apna Profile name enter karke Next button par click kare.

Lijiye aapka kaam ho gaya iske baad aapke whatsapp messages or whatsapp chats wapas restore ho jayegi aur aapke login karte hi hacker ke paas se aapke whatsapp ka access remove ho jayega.

Ab aapke alawa aapke whatsapp par kisi unknown user ka access nahi rahega iske baad aapko apne whatsapp par two step verification code enable kar dena hai aur fingerprint lock ko bhi enable kar dijiye.

I hope, ab aap samajh gaye honge ki whatsapp hack hone pe kya karna hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

 

Video Dekhe

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More