X
    Categories: WHATSAPP

Whatsapp Account Hack Hai ya Nahi Kaise Pata Kare – Check if your Whatsapp Hacked or Not

Whatsapp account hack hai ya nahi kaise pata kare aaj ki iss post me mein aapko bataunga. To agar soch rahe hai ki kahi aapka whatsapp hacked to nahi hai to iss post me bataye gaye steps ko follow karke aap easily apne whatsapp account ka status pata kar sakte hai.

Facebook ke baad facebook ownership wala whatsapp top social media sites me ek hai aur karodo log iss social media platform ka use karte hai. Aise me aaye din kai users ke whatsapp account hack ho jate hai. Aur unke whatsapp ko unke sath sath koi other person bhi use karte hai.

Aise kai baar whatsapp QR code scan karke koi aapke whatsapp ki har activity ko dekh sakta hai. Jaise ki aap whatsapp par kisse chat karte hai. Kya messege karte hai aap kab online aate ho aur kab offline rehte hai. Aapke whatsapp par total kitne friends hai. Aur unn sabhi bhi aap kya kya baat karte ho, iss tarah ki sabhi activity dekh sakta hai.

Isliye agar aapko kuch aisa doubt ho raha hai ki koi hai jo aapki whatsapp activity par nazar rakhe hue hai. To aap iss trick ka use karke iska pata laga sakte hai, iske liye bus aapko iss post me bataye gaye steps ko follow karna hai.

Whatsapp Account Hack Hai ya Nahi Kaise Pata Kare – Check if your Whatsapp Hacked or Not

Aapka whatsapp account hack hai ya nahi iska pata karna bahut hi aasaan hai. Kuch hi easy steps me aap easily iss baat ka pata kar sakte hai. To chaliye ab aapka jyada time na lete huye start karte hai aur janate hai ki whatsapp hacked account ka pata kaise karte hai.

1 Sabse pehle apne whatsapp ko open kare aur top right side me 3 dots par click kare.

2 Ab kuch option open honge to yahapar aapko Whatsapp web ke option par click karna hai.

3 Click karte hi aapke whatsapp ka QR code scanner open ho jayega. Agar yahapar aapka camera open hota hai to iska matlab hai ki aapka whatsapp account safe hai vo hacked nahi hai.

Lekin agar aapko yahapar QR code scanner ki jagah par kisi device ka name show hota hai. For example aapko yahapar “Last active today or time” iss tarah se show hota hai. To iska matlab hai ki aapka whatsapp account aapke alawa koi other person bhi use kar raha hai. Aur aapki har activity usse pata hai.

Ab Kya Kare

Agar aapko Whatsapp web me QR code scanner ki jagah par koi device logged in show hota hai. To yahi par uss device ke niche aapko “Log out from all devices” option show hoga aapko iss option par click karna hai. Jiske baad aap uss device se log out ho jaoge aur aapka whatsapp safe ho jayega.

I hope, ab aap samajh hi gaye honge ki whatsapp account hack hai ya nahi iska pata kaise karte hai. Agar aapko jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath share jarur kare.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

View Comments (1)